Sawaal az : +9199.....
Assalamualaikum bhai ... Kiya Ariza likha jaa sakta hai.. ye kitna sahi hai... jaise aaj log bolte hain ki maula hamaare haal sab jaante hain to ariza likhne ki kiya zarurat hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Mokhtasar jawaab :
ji likha jaa sakta hai, is me koei haraj nahi hai balke pasandida wa matlub amal hai
khoda bhi hamaare haal se waaqif wa Aagaah hai phir doa keyon karte hain ? apne haalaat ... keyon bataate hain ?
Imaam-e-zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) haazir wa naazir hain, ba'hukm-e-khoda yaqinan hamaare haalaat se waaqif hain, jis tarah khoda ki baar'gaah me apne haalaat bataate hain ... ousi tarah waasta-e-faiyz (واسطئہ فیض) jin ke zariae se har chiz milti hai yaani imaam-e-asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ki khidmat me arzi wa tahriri darkhaast bhejte hain
Qadre tafsili jawaab :
Ariza ka matlab :
arzi wa maaruza hai, wo khat jo chhote ki taraf se bade wa baalaa tar ko likha jaata hai, ba-surat-e-digar arz-e-haal ko ariza kahte hain
zindagi me mushkelaat, masaa'ael aur dar'khaast wa haajaten ... hain, is waqt imaam-e-zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف) se baalaa tar koei nahi hai, ye saaheb-e-aekhteyaar hain aur behtarin panaah'gaah ... bhi. lehaaza apne haalaat wa dar'khaast ko tahriri surat me aap ki khidmat me bhejte hain aur aap se motawassil hote hain
ariza tawassul ka aek behtarin zariya hai, buzurgon ki sirat bhi rahi hai
Ketaab "tohfatuz'zaaer" allama majlesi aur "mafaatihun'najaat" sabzaawaari me marwi hai ke :
jis ki jo bhi haajat ho ous ko aek kaaghaz par likhe aur kisi imaam (عليه السلام) ki qabr-e-mobaarak me daal de (yaani qabr ke nazdik zamin ke andar daal de) yaa ous ko mod kar paak khaak se bani gili mitti ke andar rakh kar nahar ya gahre konwen (کنویں) yaa taalaab yaa jhil ... me daal de
Hazrat saahebuz'zamaan (صلوات الله و سلامه عليه) tak pahunch jaae ga aap bazaat-e-khud haajat puri karen ge...
(muntahal aamaal jild 2 p 635 taalif seqatul islaam shaikh abbaas qumi saahebe mafaatihul'jenaan)
jo log ariza ki mokhaalefat karte hain oun ko imaam-e-zamaana (عجل الله فرجه الشريف) yaa shion se adaawat wa dushmani hai jaiyse wahaabi ya shia wahaabi hain, tawassul ka sahih matlab wa mafhum nahi samajhte hain
Note :
ariza daalna shab-e-15 shaabaan yaa 15 shaabaan se makhsus nahi hai, kisi waqt bhi daala jaa sakta hai. 15 shaaban welaadat hai is liae momenin is taarikh me zeyaadah daalte hain
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
15 / شعبان / 1440ھ ق
No comments:
Comment