Agar kisi shakhs ne laa'eilmi me roze nahi rakhe to ous ka hukm keya hai ? agar roze nahi rakh sakta hai to wasi'at karna zaruri hai ? aur agar pir (old) ho gaya to keya hukm hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, May 23, 2019

Agar kisi shakhs ne laa'eilmi me roze nahi rakhe to ous ka hukm keya hai ? agar roze nahi rakh sakta hai to wasi'at karna zaruri hai ? aur agar pir (old) ho gaya to keya hukm hai ?

Sawaal az : +919985.....


Ek shaqs ayyame jahalat mein roze nahi rehte the. baad muddat ke unhe taufeeq hue aur woh roze pabandi se rehne lag gaye. yeh saal woh roza rehne ke qabil nahi hai. ba'muskil wajebaat adaa to kar rahe hai. par apne purane qaza roze ada kis tarha kare. yeh sawal ka jawab chahiye. woh agha seestani ki taqleed mein hai. kya kiya jaye ?
Jehalat se muraad nasamji ya masayal ka na maloom hona.


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


ous muddat me agar maalum tha ke rozah rakhna waajib hai is ke baa'wojud amadan nahi rakhe to 3 kaam karen :


  1. amadan roza baatil karne ka kaffarah den

  2. yaani har roze ke badle 60 shia faqir ko ser karen yaani pet bhar khaana khilaa'aen (ya har aek ko taqriban 750 gr ta'aam den)


  3. benaabar aehteyaate waajib dusre maahe ramzaan tak roze na rakhne ka bhi kaffaarah (kaffaara'ae taakhir) den yaani har roze ke badle taqriban 750 gr ta'aam shia faqir ko den

  4. jo roze nahi rakhe oun ki qaza bhi rakhna waajib hai, lekin ab nahi rakh sakte to wasiyat karen ke (khoda na kare) inteqaal ke baad jetne roze nahi rakhe hain oun ko koei rakhe ya paiyse de kar dusre se rakhwaa'ae

  5. maut ke baad wasiyat ke motaabiq amal karna zaruri hai


    lekin agar wasiyat nahi ki aur inteqaal ho gaya to is surat me qaza rakh'waana zaruri nahi hai, har roze ke badle taqriban 750 gr ta'aam bhi faqir ko de sakte hain


Note :


  1. is waqt piri ki wajah se roze nahi rakh sakte hain to har roza ke badle taqriban 750 gr ta'aam faqir ko den

  2. Ta'aam yaani :

  3. chaawal, gandum, aata, roti, jaw, khurma aur is ke maanind jaiyse macaroni, gosht, aalu (آلو) waghairah


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khadime edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran


15 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.