Mosaafir ketne kilometre safar kare ga to roza nahi rakh sakta hai ? | had'de tarakh'khus se moraad keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, May 23, 2019

Mosaafir ketne kilometre safar kare ga to roza nahi rakh sakta hai ? | had'de tarakh'khus se moraad keya hai ?

Sawaal az : +9198.....


Salamunalaikum Maulana


Agar door kahi Safar pe jaana hai for example Ratlam.
toh kya roza rakh sakhte hai ya phir uski qaza roza rakhna hai. please zara details me batayenge
zara aaj bata sakte hai is sawaal ka jawaab please


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله وبركاته


agar aap ka safar Rahbare Inqelaab ke fatwe ke motaabiq taqriban 22.5 km (jaana aur aana milaa kar 45 km) aur Aayatullah Sistaani ke motaabiq taqriban 22 km (jaana aur aana milaa kar 44 km) hai to agar hadde tarakh'khus se qabl az zohr nikle to nikalne ke baad roza sahi nahi hai baad me qaza rakhen
aur agar baad az zohr nikle to ous din ka raza sahi hai


aur jahaan jaa rahe hain wahaan 10 roz se kam qeyaam ka qasd hai to aap mosaafir hain qeyaam ke dauraan roza nahi rakh sakte baad me iski qaza rakhen


Hadde tarakh'khus :


wo jagah hai jahaan pahonchne ke baad ahle shahar ya dehaat mosaafir ko na dekh paa'aen, is ki neshaani wa pahchaan ye hai ke khud, shahar wa dehaat waalon ko na dekh saken
ba alfaaze digar wo jagah hai jahaan se shahar ya dehaat ki azaan suni na jaa sake ya ous ki diwaaren nazar na aa'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


26 / رمضان المبارک / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.