keya roze daar din me naha sakta hai ? aur keya hauz me nahaane wa kisi ko nejaat dene ke liae darya me daakhil hone se roza baatil ho jaa'ae ga ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, May 23, 2019

keya roze daar din me naha sakta hai ? aur keya hauz me nahaane wa kisi ko nejaat dene ke liae darya me daakhil hone se roza baatil ho jaa'ae ga ?

Sawaal az : +9177.....


Salamun alaikum.


Que...


Roza rakh kar din ke kis waqt tak nahaane ki ijazat hai ? ya ki maghrib tak kabhi bhi nahaa (bath) sakte hai


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


roze ki haalat me kisi waqt bhi nahaa sakte hain is se roza baatil nahi hota


albatta agar nahaana kamzori ka sabab bane to makruh hai (yaani roze ka sawaab kam ho jaa'ae ga)


agar hauz ya darya waghairah me koei nahaa'ae to sirf nahaane wa tairne se roza baatil nahi hoga balke amadan paani ke andar tamaam sar ko dubone se benaabar aehteyaate waajib roza baatil ho jaa'ae ga


lekin Aayatullah Sistaani ke nazdik paani me sar ko dubone se roza baatil nahi hota, bas shadid makruh hai


Note :


dubte huae ko bachaane ke liae rozedaar paani me sar ko dubone par majbur ho jaa'ae to sar dubone ke baad roza baatil hai baad me is ki qaza rakhe


Aayatullah Sistaani ke nazdik qaza rakhna zaruri nahi hai is liae ke aap ki nazar ke motaabiq paani me sar ko dubone se roza baatil nahi hota


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


8 / رمضان المبارك / 1439 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.