Aek maah me 2 oumrah karne ka keya hukm hai ? | donon ke darmeyaan ketna faaselah hona chaahiae ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, June 10, 2019

Aek maah me 2 oumrah karne ka keya hukm hai ? | donon ke darmeyaan ketna faaselah hona chaahiae ?

Sawaal az : +9199....


Salamun alaikum Wrb
Mola Aapko salamat rakhe


Molana sahab kya 1 mihine me 2 Umrah kar sakte hai ya nahi


2 Umrah ke darmiyan kitna faslaa karna hoga
jo Makkah ke qareeb rehta hai uske liye aur jo Saudi Arabia se bahar rehta hai uske liye


Shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


"qamari aek mahine me 2 oumra'ae mufradah apni taraf se ya kisi aur ki taraf se nahi kar sakte hain"


Misaal :


maahe shauw'waal me (aw'wale shauw'waal se aakhir shauw'waal ke darmeyaan) 2 oumre apni taraf se ya kisi aur ki taraf se nahi kar sakte hain agar'che dusra oumra ba'qasde raja wa sawaab kar sakte hain is me koei haraj nahi hai


"albatta aek oumrah apne liae aur dusra, dusre ke liae (dusra neyaabat ke taur par) ya aek kisi aur shakhs ke liae wa dusra bhi kisi dusre shakhs ke liae (yaani donon do mokhtalif afraad ki taraf se ho) to is surat me aek hi maah ke darmeyaan 2 oumre kar sakte hain, faasela shart nahi hai"


Wazaahat :


agar qamari saal ke har mahine me oumra karna chaahate hain to do oumron ke darmeyaan 30 roz (mokammal aek maah) ka faasela zaruri nahi hai balke sirf mahine ka guzar jaana wa dusre mahine me daakhil hona faasele ke liae kaafi hai


Misaal :


"aek oumra maahe rajab ke aakhir me karen aur dusra maahe shaabaan ke shuru me, to koei haraj nahi hai do oumre do mahinon me hon kaafi hai"


Natija :


"har qamari mahine me sirf aek hi oumrah kar sakte hain"


jo ahkaam bataa'ae ga'ae wo sab ke liae hain


(ba'motaabiq nazar Aayatullaah Sistaani)


Note :


oumra'ae tamatto se mota'alliq kuchh ahkaam me farq hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


6 / شوال / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.