Namaaze wahshat ka faa'aeda | ahamiyat | tariqa | waqt - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, July 6, 2019

Namaaze wahshat ka faa'aeda | ahamiyat | tariqa | waqt

Sawaal az : +91 7808.......


slam alikum janab mehrbani kar ke namaze wahshat ke bare me bataye kisi ko batana hai or namaze wahshat ka tarikha Bhi bataye


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Maiy'yit (میت) ko dafn karne ke baad pahli raat me maiy'yit ke liae namaaze hadiya'ae maiy'yit padhna mustahab wa behtar hai, ye namaaz hamaare darmeyaan namaaze wahshat se mash'hur hai is liae ke murda qabr se abhi maanus nahi hai lehaaza tarso wahshat ka aehsaas karta hai, khoda ke fazl se ye namaaz murde se wahshat ko dur karti hai isi liae namaaze wahshat kahte hain, haqiqat me ye namaaz wahshat dur karne ke liae hai wahshat ke liae nahi hai


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


maiy'yit ke liae pahli raat se zeyadah sakht wa bura koei bhi waqt nahi aata lehaaza sadqa de kar apne murdon par raham karo, agar sadqa ke zariae raham nahi kar sakte ho (yaani paiyse waghairah nahi hain) to 2 rak'at namaaz (namaaze wahshat) padho
jaiyse hi namaaze wahshat padhi gaei khoda hazaar farishton ko ous ki qabr ki taraf bhejta hai, har farishte ke saath bahishti lebaas hote hain aur sur phunkne (پھونکنے) tak (ta'qeyaamat) ous ki qabr ki tangi ko kushaada (wasi) kar dete hain


Padhne waale ke liae faa'aeda :


namaaz padhne waale ke liae, jin jin chizon par suraj chamakta hai ous ke barabar nekiyaan ata karta hai aur bahisht ke darajaat me se ous ke liae 40 daraje baland kar diae jaate hain


Hadis ki Arabi aebaarat ka matn :


" لَایَأْتِی عَلَی الْمَیِّتِ سَاعَةٌ أَشَدُّ مِنْ أَوَّلِ لَیْلَةٍ فَارْحَمُوا مَوْتَاکُمْ بِالصَّدَقَةِ. فَإِنْ لَمْ تَجِدُوا فَلْیُصَلِّ أَحَدُکُمْ رَکْعَتَیْنِ یَقْرَأُ فِی الْأُولَی بِفَاتِحَةِ الْکِتَابِ مَرَّةً وَ آیَةِ الْکُرْسِیِّ مَرَّةً وَ «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» مَرَّتَیْنِ وَ فِی الثَّانِیَةِ فَاتِحَةَ الْکِتَابِ مَرَّةً وَ «أَلْهَاکُمُ التَّکَاثُرُ» عَشْرَ مَرَّاتٍ وَ یُسَلِّمُ وَ یَقُولُ: «اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَی مُحَمَّدٍ وَ آلِ مُحَمَّدٍ وَ ابْعَثْ ثَوَابَهَا إِلَی قَبْرِ ذَلِکَ الْمَیِّتِ فُلَانِ بْنِ فُلَانٍ» فَیَبْعَثُ اللَّهُ مِنْ سَاعَتِهِ أَلْفَ مَلَکٍ إِلَی قَبْرِهِ مَعَ کُلِّ مَلَکٍ ثَوْبٌ وَ حُلَّةٌ وَ یُوَسَّعُ قَبْرُهُ مِنَ الضِّیقِ إِلَی یَوْمِ یُنْفَخُ فِی الصُّورِ وَ یُعْطَی الْمُصَلِّی بِعَدَدِ مَا طَلَعَتْ عَلَیْهِ الشَّمْسُ حَسَنَاتٍ وَ تُرْفَعُ لَهُ أَرْبَعُونَ دَرَجَةً. "


(Mustadrakul wasaa'ael - Jild 2 - Safha 113 - Taalif Mohaddis nuri)

Rasule khoda (صلی الله علیه و آله) ki ye hadis bahot zeyadah ajr-o-paadaash par dalaalat karti hai, saath hi saath is se namaaze wahshat ki ahamiyat ka andaaza bhi lagta hai


Is namaaz ke 2 tariqe hain :


  1. ye namaaz 2 rak'at hai, pahli rak'at me surah-e-hamd 1 martaba aur surah-e-qul howallaho Ahad (surae ekhlaas) do martaba padhen aur dusri rak'at me surah-e-hamd 1 martaba aur surah-e-takaasur (sura No 102) 10 martaba padhen, namaaz tamaam karne ke baad kahen :

  2. اَللّهُمَّ صَلِّ عَلیٰ مُحَمَّدٍ وَآلِ مُحَمَّدٍ وَابْعَثْ ثَوابَها إِلیٰ قَبْرِ فُلان بِن فُلان


    allahumma saalle Ala mohammad wa aale mohammad wab'as sawabaha aela qabre folaan bin folaan


    folaan bin folaan ki jagah maiy'yit aur ous ke baap ka naam len, masalan murda ka naam Hasan ya Maryam hai aur baap ka naam Haashim hai to kahen Hasan bin Haashim ya Maryam binte Haashim


    (Aayatullaah sistaani ke nazdik ye tariqa inteqaal ke baad pahli raat se makhsus hai, murda dafn huaa ho ya na huaa ho)


  3. pahli rak'at me surah hamd aur aayatul kursi (hum'fihaa khaaledun tak) aek martaba aur dusri rak'at me surah hamd aek martaba aur surah innaa anzalnaaho 10 martaba padhen phir namaaz tamaam kar ke wahi jumla kahen :

  4. allaa'humma salle ala mohammad wa aale mohammad wab'as sawaabaha aela qabre folaan bin folaan


Note


  1. agar dono tariqe ke motaabiq padhen to behtar hai, albatta aek hi tariqe ke motaabiq padhna kaafi hai

  2. is namaaz ka waqt dafn ke baad tamaam raat hai (qabr ki pahli raat se ta subh) lekin aw'wale shab namaaz-e-aeshaa ke baad padhna behtar hai

  3. wab'as sawaabaha... ka matlab hai :

  4. is namaaz ka sawaab folaan bin folaan tak pahunch jaa'ae


Mazid maalumaat aur jawaabaat ke liae "MENU" me "Maiy'yit & arwaah" ka shoba molaaheza farmaa len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


29 / رجب / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

.