zaani ya zaani ke aelaawah kisi aur ka zaaniyah ladki se shaadi karne ka hukm | apne gunaah par parda daalna waajib hai - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, July 16, 2019

zaani ya zaani ke aelaawah kisi aur ka zaaniyah ladki se shaadi karne ka hukm | apne gunaah par parda daalna waajib hai

Sawaal az : .....


Salam alaikum


Ek sawal -
kya koi kisi aisi ladki se shadi kar sakta hai jo shadi se pahle kisi ghair mard ke sath sex kar chuki ho... aur jisse uski shadi ho rahi hai usko sab pata chal jaye aur wo maaf kar de to kya wo shadi jayez mani jayegi aur usse jo bachhe honge wo halal honge ?


Aagha seestani ki taqleed karta hu Qibla.


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


aehteyaate waajib ke taur par agar ladki (zaaniya) tauba kar le tab ladka (zaani) ous se shaadi kar sakta hai


albatta agar dusra (ghair zaani) shaadi karna chaahata hai to tauba karne se pahle bhi kar sakta hai


lekin aehteyaate mustahab ye hai ke aek maahwaari (haiz) aane ke baad shaadi ho


Shart :


zena wa badkaari ke baad parda'ae bakaarat zaa'ael (زائل) huaa ho ya na huaa ho donon surat me ladki ke baap / dada ki aejaazat zaruri hai agar baap / dada ki reza'mandi ke beghair shaadi ho to aqd baatil hai


jo mas'ala bayaan kiya gaya ous ke motaabiq agar shaadi ho to shaadi sahih hai aur bach'cha bhi jaa'aez wa halaali ho ga


gunaah bada ho ya chhota dusron se chhupaa'ae, apne gunaah ko faash karna aur dusron se bayaan karna jaa'aez nahi hai haraam hai ye khud gunaah hai
is liae ke apni eizzato aabru ki hefaazat waajib hai


dusre ye ke bataane ki surat me koei dusra ous ke saath nikaah karne ke liae tay'yaar nahi ho ga agar koei nikaah kar bhi le to kaei tarah ke masaa'ael janam lete hain


masalan salbe aetemaad, tahqiro zillat, be'aabru hona, talaaq ...


lehaaza Sat'taarul Oyub (ستار العيوب) ki baargaah me apne gunaahon ka aeteraaf kare aur apne is gunaah par sharminda ho kar Allaah se mo'aafi maange wa tauba kare


"aur wahi to hai jo apne bandon ki tauba qabul karta hai aur gunaahon ko mo'aaf karta hai aur jo kuchh tum karte ho ous ka eilm rakhta hai"


(surah shura 25)


Note :


baaz maqaamaat par bayaan karne ki aejaazat di gaei hai ye aek alag bahas hai


tafsilaat ke liae niche di gaei surkhi (headline) par click karen aur video bhi molaaheza farmaa len


  1. zaani aur zaaniyah agar baa ham shaadi karna chaahen to is ka kaffaarah keya hota hai ?

  2. Zena aur shaadi | taqleed | tashah'hud me aliyun waliyullah | namaaz me chehre ka khula rakhna


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


3 / ذيقعده / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube


.