keya mard Hazrate Faatemah (s.a) aur auraten Imaam Husain wa Janaabe Abbaas (a.s) ka taabut outha sakti hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, October 18, 2019

keya mard Hazrate Faatemah (s.a) aur auraten Imaam Husain wa Janaabe Abbaas (a.s) ka taabut outha sakti hain ?

Sawaal az : +917783....


Salamun alaikum


Maulana sahab... Mera ek sawaal hai... Ke kya mard janab-e-fatima (s.a) ka taabut utha sakte hain ? aur aurten imaam hussain (a.s) ya maula abbas (a.s) ka taabut utha sakti hain ?


Kahin sunne me aata ke mard agar bibi (s.a) ka tabut uthate to bibi (s.a) ka dil gawara nahi karta hai...
Ye kahan tak sahi hai, plz iska jawab dene ki zahmat karen...


Shukriya
WASSALAM


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته


ji mard Janaabe Faatema (سلام الله عليها) ka taabut outha sakte hain eisi trah auraten bhi Imaam Husain (عليه السلام) ya Janaabe Abbaas (سلام الله عليه) ka taabut outha sakti hain


dar haqiqat ye taabut alaamati hai asli taabut ki shabih banaa kar outhaate hain


Hazrate Zahra (سلام الله عليها) ki namaaz wa tash'eiae (تشييع) janaaza me Amirul Momenin aur Imaam Hasan wa Husain (عليهم السلام) ke aelaawah Janaabe Abuzar, Salmaan, Ammaar aur Meqdaad ... bhi the


namaaze janaaza aur tash'ei ke baad shab me aap ko supurde khaak kiya gaya, oun maraasim me aap hazaraat sharik the


dusre ye ke markaze eilm wa ijtehaad Qum moqaddas ... me Janaabe Zahra (سلام الله عليها) ki shahaadat ke mauqe par aap ke taabut ki shabih outhaaei jaati hai ous me baaz maraaje keraam, olama aur momenin wa momenaat ki kasir taadaat shirkat karti hai


agar mard Janaabe Faatema (سلام الله عليها) ke taabut ki shabih nahi outhaa sakte the to khud maraaje aiysi azaadaari me sharik nahi hote aur mana karte


maraaje aezaam ke is amal se na sirf ye ke is baat ki taa'eid hoti hai balke Janaabe Faatema (سلام الله عليها) ka taabut outhaane ki ahamiyat maalum hoti hai khaah ye kaam mardon ke zariae se ho ya is ke bar'aks yaani auraten Imaamon (سلام الله عليهم) ka taabut outhaa'aen


agar mard Janaabe Zahra (سلام الله عليها) ka taabut outhaa'aen to aap ka dil gawaara nahi karta ...


aiysa nahi hai balke is ke bar'aks, aap is amal se khush'haal hoti hon gi is liae ke ye azim aebaadat wa hasanaate buzurg se hai, sha'aa'aere aelaahi (شعائر الہی) me se hai aur is ki zarurat bhi hai


ye chizen aap ki mazlumiyat ko yaad dilaati hain ke aap ko kis tarah shahid kiya gaya aur shab me gharibaana dafn kiya gaya ...


Note :


baaz log ye tasaw'wur karte hain ke Hazrat Saiy'yeda'ae Kaunain (سلام الله عليها) ka janaaza wa taabut hasbe wasiyat raat ki taariki me outhaaya gaya lehaaza aap ka alaamati taabut bhi raat ki taariki me outhaaya jaa'ae, is ki koei haqiqat nahi hai, raat, din ke oujaale aur roshni me outhaaya jaa sakta hai


Niche di gaei video dekhna mofid hai انشاءالله


keya hazrate Faatema ka taabut mard outha sakte hain | phul dafn kar sakte hain ?


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


11 / صفر / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.