Agar chaar rakati namaaz me teesree rakat me tasbeeh-e-araba padh ke chauthee rakat me surah hamd padh ke.........? - Edaara-e-darul itrat
Bani Haashim Ki Auraton Ki Azaadaari | Imaam Sajjaad Ka Oun Ke Liae Khaane Ka Bandobast Karna

Saturday, November 23, 2019

Agar chaar rakati namaaz me teesree rakat me tasbeeh-e-araba padh ke chauthee rakat me surah hamd padh ke.........?

Sawaal az:- mohtaram janaab siraj Zaidi zaidi sb

Agar 4,rakat namaaz hai

Teesree rakat men tasbeeh-e-araba teen baar padh li hai aur chauthee rakat men surah hamd padh kar ruku aur sajda kar ke namaaz tamaam kar di to yeh namaaz huwi ya nahin huwi dobaara padhna padegi


jawaab :

                           باسمه تعالى

                             سلام عليكم

namaaz sahih hai dobaarah padhna zaruri nahi hai


Note :

tisri our chauthi rak'at me sirf aek martaba surah hamd padh sakte hain ya aek marta tasbihaat-e-arba'aa , lekin behtar ye hai ke tasbihaat-e-arba'aa 3 martaba padhen

our tisri rak'at me surah hamd our chauthi me tasbihaat-e-arba'aa ya is ke bar'aks yaani chauthi me surah hamd our tisri me tasbihaat-e-arba'aa padh sakte hain albatta behtar hai ke dono rak'at me tasbihaat-e-arba'aa padhen




والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

25 / ربيع الاول / 1441ھ.ق

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen