roti ki izzat | roti khaane ke aadaab - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, November 14, 2019

roti ki izzat | roti khaane ke aadaab

sawaal az : +923002........


AOA! roti ka roll bana kar ya bread ka sandwich bana kar danton se kaat kar khana jaiz he ya nahin ? Books yani Hadis-e-mubarka,  Farman-e-Masoom (AS) ya Quran-e- karim ke Irshad ke hawale se jawab ina'yat farmaien. Ayat-u-Allah Khamnai sahab aur Seestani Sahab donon ka keya hukm hai ?

Nawazish hogi


jawaab :


باسمه تعالى

سلام عليكم

jaaez hai ( makruh nahi hai )


Note :


(1) maasumin ( عليهم السلام ) ne farmaaya :


لَا تَقطَعُوا الخُبزَ بِالسِّكِّينِ وَلَكِن اَكسِرُوهُ بِاليَد ...۔


( foruae kaafi jild 6 p 304 ketaabul at'aema baab fazlul khubz )

"roti ko chaaqu se na kaato balke ous ko haath se todo ( توڑو ) ..."


(2) Rahbar-e-inqelaab aayatullaah khaa'menaei :


chaaqu ya qainchi ( قینچی ) se roti kaatna makruh hai , behtar hai tez dhaar waale aalaat se na kaati jaae


aayatullah sistaani :


roti ko chaaqu se kaatna mazmum ( naa pasand, qaabil-e-malaamat fel ) hai


(3) rewaayaat ke motaabiq :


roti ke oupar koei chiz rakhna aur jab dastar'khaan par rakh di jaae to khaana shuru na karna balke dusri chiz ka intezaar karna ... makruh wa mazmum fel hai


aur jab roti wa ghosht aek saath rakhe jaaen to roti se khaana shuru karna chaahiae


( hawaala-e-saabiq )

in baaton se maalum hota hai ke roti allaah ki aisi azim wa khaas nemat hai jis ka aehteraam karna chaahiae

roti ka aehteraam dar haqiqat khaane pine ki saari ashi'ya ka aehteraam hai


(4) chaaqu se roti kaatna makruh hai ye hukm aam haalaat me hai


lekin agar zarurat pad jaae ( masalan agar chaaqu se na kaati jaae to israaf hoga ya zaae ( ضائع ) hogi ... ) to kaatne me haraj nahi hai ( mkruh nahi hai )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔13 / ربيع الاول / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube
.