kya agar ghusl waajib huwa hai chahe mas'se maiy'eit ya janaabat ho to kya ghusl ke baad namaaz ke liye wazoo karna waajib hai ya mustahab? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, December 6, 2019

kya agar ghusl waajib huwa hai chahe mas'se maiy'eit ya janaabat ho to kya ghusl ke baad namaaz ke liye wazoo karna waajib hai ya mustahab?

sawaal az : Mohtaram janaab Haider saheb ( Kanpur)

Sallamun alaikum
Mera ek sawaal hai ki kya agar ghusl waajib huwa hai chahe  
mas'se maiy'eit ya janaabat ho to kya ghusl ke  baad namaaz ke liye wazoo karna waajib hai ya mustahab.
Ayatollah sistani ke hisaab se Bata den please 


jawaab :

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ghusl-e-janaabat ke baad wozu nahi karna chaahiae eisi ghusl se namaaz padh sakte hain ya wo kaam anjaam de sakte hain jis me tahaarat shart hai

ghusl-e-mas'se maiy'eit , ghusl-e-janaabat ki tarah hai yaani is ke baad namaaz ke liae wozu karna zaruri nahi hai albatta aehteyaat-e-mustahab ye hai ke is ke baad namaaz ke liae wozu bhi kar len


yahi hukm tamaam waajib ghusl ka hai yaani ous ke baad wozu karna zaruri nahi hai agar che aehteyaat-e-mustahab ye hai ke wozu bhi kar len

( faqat ghusl-e-istehaaza motawas'seta = استحاضہ متوسطہ  ka hukm alag hai yaani is ghusl ke baad namaaz ke liae wozu karna zaruri hai )


Note :

1. wo tamaam mustahab ghusl jin ka mustahab hona motabar dalil se saabit hai oun ke saath bhi namaaz padh sakte hain ya wo kaam kar sakte hain jin me tahaarat shart hai jaiyse qur'aan ke horuf ko mas karna ... albatta aehteyaat-e-mustahab ye hai ke wozu bhi kar len

aayatullaah sistaani ke nazdik saabit shudaah mustahab ghusl 25 hain oun me se ghusl-e-jum'aa wa eid-e-fitr wa qurbaan bhi hai

2. ghusl-e-janaabat ke baad aek surat me namaaz ke liae wozu karna zaruri hai wo surat ye hai ke ghusl karne ke darmeyaan hadas-e-asghar ( peshaab ' paakhaana our mede ki reyaah ... ) kaahrij wa  saadir ho jaae to ghusl ko mokammal kar len ghusl sahih hai lekin namaaz ke liae be naabar aehteyaat-e-waajib wozu karna zaruri hai

3. ghusl-e-janaabat ke baad wozu karna haraam wa bid'at hai lekin ous ka ghusl baatil nahi hoga

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

7 / ربيع الثانى / 1441ھ.ق

.