General Qaasim Solaiymaani aur abu-mahdi ki shahaadat ek ahad ka khaatema - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, January 5, 2020

General Qaasim Solaiymaani aur abu-mahdi ki shahaadat ek ahad ka khaatema

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


◾باسمه تعالى◾


General Qaasim Solaiymaani aur Abu Mahdi ki shahaadat ek ahad ka khaatema


لاَ صَوَّتَ النَّاعِىَ بِفَقدِكَ اِنَّمَا
یَوم عَلَى آلِ الرَّسول عَظِيم


Maut ki khabar laane waala tumhaare fuqdaan ki khabar na laata


aaj Aale Rasul (صلوات الله عليهم) par azim mosibat ka din hai


guzishta kal (roze jum'aa) andohnaak khabar mili ke aalami dahshat gard America ke jangi helicopter ke shab ki taariki me buzdelaana hamle me azim sepah saalaar aur takfiri wahshiyon aur dahshat gardon ke qaatil aur aalame islaam ke azim mojaahid General Qaasim Solaiymaani aur iraqi raza kaar sepaah (hashdush'shaabi) ke aa'la commander iraq ke Solaiymaani Jamaal Jaafar Ibraahim al'maaruf ba Abu Mahdi Mohandis apne ba'wafa saathiyon samet shahid ho ga'ae.


aap hazaraat ki mazlumaana shahaadat ki khabar sun kar dil gham se paara paara ho gaya, dilo demaagh ko is qadr jhinjhod (جهنجھوڑ) dene waali thi ke kaafi der tak yaqin nahi aaya aur jisne bhi suna oun sab ka yahi haal huaa khabare shahaadat qeyaamate soghra se kam nahi


Is waqt aalame islaam wa musalmaan jin haalaat wa masaa'ael se do chaar hain in ki mojaahedat ki badi zarurat thi magar mashiyate eizadi me kis ko dakhal



maujuda haalaat me har taraf musalmaano par qeyaamat tut rahi hai oummat ko har jagah maaraka'ae karbala (haq'qo baatil ki jang) dar'pesh hai aiyse waqt me Hussaini qaafele ke qaafela saalaar ka hamse rukhsat ho jaana yaqinan bada saaneha hai


Dono mojaahid ki shahaadat se millate islaamiya ki baqa wa sar balandi ke liae aekhlaas wa lillaahiyat ke saath kaam karne waalon ki aiysi jagah khaali ho gaei jis ka pur hona behad mushkil hai


Ruhaaniyat, shuja'at, azmo himmat wa azimat, hikmato basirat, dini hamiyat wa eimaani ghairat ka suraj ghorub ho gaya.


Saddam mal'oun ke khelaaf moqaabala wa jang me eimaani faraasat, seyaasi basirat aur zabardast qaumi wa samaaji sho'our dono mojaahid ka tur'ra'ae imteyaaz tha, ye sab ke the, aur sab in ke the.


bedaar maghzi, oulul azmi aeraada ki mazbuti, haalaat se ba'khabari aur dushman wa qaum wa millat ki sahih nab'baazi ne in ki shakhsiyat ko pur aetemaad bana diya tha


inho ne apni manzil aur apna raasta khud mota'aiyyan kiya wus'ate zarf, kasrate amal aur jur'at in ki shanaakht thi.


zakhmi badan ke ba'wojud in ki mojaahedaana lalkaar se aalame kufro nefaaq aur firqa paraston ke naa'paak azaa'aem tahas nahas ho jaate the.


apne inferaadi andaaz se millate islaamiya ki jo na-qaabile faraamosh khidmaat anjaam di hain wo aabe zar se likhe jaane ke qaabil hain


Ye azim mojaahedin apne kaarnaamon aur qurbaaniyon ki wajah se logo ke dilo me hamesha zinda rahen ge.


in ki zindagi ham sab ko haus'la deti rahegi, jawaan mojaahedin ke liae qaabile taqlid hain in ki zindagi aane waali naslon ke liae tahrik ka kaam karti rahe gi mojaahedat ke aasmaan par qutb taara ke maanind hain sabhi ke liae minaara'ae noor hain.


is liae ke beghair kisi mar'oubiyat ke puri quw'wat wa jur'at ke saath khidmaat ke gahre noqush chhode hain


in mojaahedin ka paak khun zamin par baha hai Khun ka har qatra beej hai is se tanaawar darakht Solaiymaani aur Abu Mahdi ki surat me paida hote rahen ge, shahaadat ne inko hamesha ke liae zinda kar diya


tamaam rokaawaton ke ba'wojud mobile ke profile waghairah par Solaiymaani aur Abu Mahdi ki taswiren nazar aa rahi hain


aaj iraq ke mokhtalif shahro me azim tash'yi huei aur kal iran ke mokhtalif shahron me hogi


Trump aur is ke aeshaare par wafaadaar kutte ki trah dum hilaane waale Aale Banu Omaiyya wa Abu Sufyaan... dekhen


ye shohadaa zinda hain lekin tum zinda rah kar bhi mota'affin wa bu'daar laash ho


inteqaami kaarwaaei ka khaufo heraas ahmaq Trump ... Par is trah hai ke apne paaltu kutton wa Iran ki kuchh padosi ghulaam hokumaton aur Russia... ki khushaamad kar raha hai ke Iran se kahen aur qaane Karen ke mokhtasar inteqaam le kar baat khatm kar den is ke baad ham kuchh nahi karen ge ...


jis ne Karbala se dars wa sabaq haasil kiya hai wo super power se bhi nahi darta hai aur jisne Banu Omaiyya aur Abu Sufyaan se dars haasil kiya hai wo America ke ek kutte se bhi darta hai ye zamini haqaa'aeq hain is se salimul'aql insaan inkaar nahi kar sakta hai


dono azim mojaahedin ki shahaadat par aalame kufro nefaaq aur Banu Omaiyya ... ki najaa'aez aulaad khaamosh hain ya khushi manaa rahe hain awwal ye ke tumhaari ye khushi waqti hai dusre ye ke jab dekho ke kutte aur lakad bhag'gaa (hyena) khushi manaa rahen hain to samajhna ke sher mara hai


Khoda be'haqqe Mohammad wa aale Mohammad (صلوات الله عليهم) shohdaa ke ahle khaana aur tamaam pasmaandagaan ko sabre jamil wa jazil ata kare aur in shohada ko jawaare shohadaa'ae karbala (سلام الله عليهم) me jagah aenaayat kare


السلام عليكم اَيُّهَا النَّاصِر لِلحَق


Tum par salaam ho ay haq ke naasiro madadgaar


Syed Shamshad Ali Katokhari


8 / jomaa'diyul oula / 1441 hijri


this article transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu

Subscribe us on youtube


Recommended

  • Qaasim Solaiymaani aur Abu Mahdi ko shahid kar diya gaya lekin inka jurm keya tha ?
  • .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen