Bibi Zahra s.a ne moula Ali as se farmaya ..ke aap ko log Salam bhi nahi karte uske baad....ka hawaala chahiye - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 4, 2020

Bibi Zahra s.a ne moula Ali as se farmaya ..ke aap ko log Salam bhi nahi karte uske baad....ka hawaala chahiye

Sawaal az : mohtaram janaab Zainul Abbas Hussaini sb

Salaam

Beraadar ek riwayat ka hawaala chahiye
.

Bibi Zahra s.a ne moula Ali as se farmaya ..ke aap ko log Salam bhi nahi karte uske baad imaam farmaate hain ke Ab log mere Salam ka bhi jawaab nahi dete ,,


jawaab :

                           باسمه تعالى

          عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


is waaqe'aa ko is tarah bhi bayaan kiya jaata hai :

janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ki khaadema janaab-e-fizza naql karti hain ke darwaaza khat'khataane ki aawaaz aaei , me kholne ke liae aage badhi to hazrat-e-zahra ( سلام الله عليها ) ne farmaaya fizza ruk jaao ali ( عليه السلام ) ke darwaaza khat'khataane ki aawaaz hai me khud darwaaza kholna chaahti hun

mushkil se darwaaze tak pahunchin to hazrat ali ( عليه السلام ) aap ko dekh kar bhar'raa gae our farmaaya aap ne ye zahmat keyaun ki ?

janaab-e-zahra ( سلام الله عليها ) ne farmaaya me ne suna hai ke in dinon log aap ko salaam nahin karte hain lehaaza me ne chaaha ke pahle me aap ko salaam karun

ali ( عليه السلام ) ne bhar'raaei huei aawaaz me jawaab diya ke aiy dukhtar-e-rasul-e-khoda na sirf ye ke log salaam nahin karte balke mere salaam ka jawaab bhi nahin dete hain

is ke mota'alliq arz kar dun ke hadis our taarikh ki ketaabon ke mokhtalif maraatib our darjaat hain sab aek darja our aek martaba ki nahin

pahle darje wa tabqe ki ketaabon jinhen " oum'mahaat-e-kotub " ( ketaabon ki maaen ) wa qadimi ketaaben bhi kahte hain oun me be'bezaa'at haqir ko is waaqeaa ka zikr nahin mila


agar kisi ketaab me zikr ho to mujhe is ka eilm nahi hai

albatta do dalil ki bena par is waaqeaa se inkaar nahi kiya jaa sakta hai :

(1) mujremin our zaalimon ( لعنةالله عليهم ) ne ous waqt aiyse haalaat paiyda kar diae the ke is waaqeaa ka imkaan hai

hatta jab hazrat ali ( عليه السلام ) ki shahaadat mehraab-e-aebaadat me  huei to baaz ne kaha keya ali namaaz bhi padhte the ? ... ( ma'aaz allaah )

banu omaiy'ya , arbaab-e-saqifa our zaalimon ( لعنةالله عليهم ) ne is tarah aap ke khelaaf ghalat propaganda kiya tha , lehaaza ous waqt ke haalaat ke peshe nazar aap ke salaam ka jawaab na dene ka imkaan badar'jae aula ( بدرجئہ اولی ) hai


(2) aek qaaeda hai " adamul wijdaan laa yadullo ala adamil wojud "
( عَدَمُ الوِجدَانِ لَا يَدُلُّ عَلَى عَدَمِ الوُجُود ) na paaya jaana na hone par dalaalat nahi karta

lehaaza tabqa-e-oula ki ketaabon me na hona is ke na hone ki dalil nahi hai , ye waaqeaa sina basina ham tak muntaqil hota raha



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

6 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen