keya baith kar wa bistar par zeyaaraton ko padh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, February 29, 2020

keya baith kar wa bistar par zeyaaraton ko padh sakte hain ?

Sawaal az : mohtarama janaab Syeda Shahida Sb / Multan


A.o.a


Keya zeyaarat-e-Aashoora, zeyaarat-e-warisa, zeyaarat-e-jamia ko baith kar padha ja sakta hai ? Aashoor ke din ke elaawa.


Bachon ko zeyaarat-e-warisa yaad karwa rahi hun raat ko jab sone jaate hain to yaad aata hai phir lete huae kabhi sun'ne lagti hun keya aisa kiya jaa sakta hai


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


mustahab kaam ko jis tarah chaahen anjaam de sakti hain
in zeyaaraton ko padhna mustahab kaam hai lehaaza roze aashura wa ghaire aashura baith kar padh sakti hain


Dusre ye ke surah aale imraan 191 me hai :


jo log khoda ko khade aur baithe aur pahlu (karwat) par lete yaad karte hain ...


is aayat me bistar ki taraf bhi aeshaara hua hai lehaaza is aayat se istefaada hota hai ke uth'te baith'te karwat lete aur bistar (wa mosalle) par bhi padh sakti hain ba'aese ajaro sawaab hai.


albatta agar bataure kaamil is ke aasaaro barakaat aur nuraaniyat se faa'aeda uthaana chaahti hain to makhsus aadaab wa shara'aet ke motaabiq padhen


NOTE :


  1. baith kar ya bistar par is tarah padhen ke ourfe aam me tauheen aur be'ehteraami na samjha jaa'ae

  2. mazid maalumaat ke liae niche di gaei teeno video dekh len

    1. Zeyaarate Aashurah ki wazaahat


    2. zeyaarate jaameah kabirah ki ahamiyat aur fazilat


      zeyaarate naahe'yah ka mokhtasar ta'aaruf || shohadaae karbala par imaame zamaana ki marsiya goei


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


شب عاشورہ / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

.