Shahwaani | bure khayaalaat aane se nikalne waale paani ka hukm | mani ki pahchaan - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, February 24, 2020

Shahwaani | bure khayaalaat aane se nikalne waale paani ka hukm | mani ki pahchaan

Sawaal az : +966 57.....


Assalam alaikum
Khuda wande aalam se dua karta hu ke aap hazraat khair-o-aafiyat se hon


Janaab mera ek sawaal hai ummeed karta hu ke aap se maqool jawaab milega


Baaz waqt zehan me kuch bure khayaalaat aate hain din me bhi aur raat ko bhi jiski wajah se sharmgaah se rotubat ke kuchh qatre jaari hote hain yeh rotubat kya hukm rakhti hai aur aiese me namaaz ke liye kya hukm hai


Meharbani hogi ke aasan lafzo mein bayaan karein jisse ke samjhne me dushwari na ho


Khuda hafiz
... husain
Jaunpur u.p india
Haal muqeem Saudi arab


Muqallid : Ayatullahil uzma Agha-e-Syed Sistani


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


agar koei rotubat mard se khaarij huei hai aur nahih jaanta ke mani hai yaa peshaab yaa is ke aelaawah koei aur rotubat


agar ous me tamaam 3 alaamaten wa neshaaniyaan paaei jaa'aen yaa oun me se koei aek alaamat wa neshaani paaei jaa'ae to ous par mani ka hukm jaari ho ga namaaz ke liae ghusl karna zaruri hai


Neshaaniyaan wa alaamaten :


  1. shahwat ke saath nikle
  2. ouchhal (اچھل) kar baahar aa'ae
  3. baahar nikalne ke baad badan sust ho jaa'ae

agar ye tinon neshaaniyaan na hon yaa in me se baaz na ho to wo rotubat mani ka hukm nahin rakhti lehaaza namaaz waghairah ke liae ghusle janaabat zaruri nahin hai


lekin keya ye rotubat paak hai ya nahin ? is jawaab ko padhne ke liae click here


Note :


  1. mariz aur aurat ke liae zaruri nahih hai ke rotubat ouchhal kar nikle aur nikalne ke baad badan sust ho jaa'ae balke agar shahwat ke saath baahar aaei hai to mani ka hukm diya jaa'ae ga lehaaza namaaz waghairah ke liae ghusl yaa majburi ki surat me tayammum kare

  2. behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi molaaheza farma len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.