Nehaj-ul-Balagah Hazrat Ali a.s. khutbaat, khutoot aur Aqwaal par ek mujmoa hai, jo fourth century may Syed Razi r.a. ny tadween kiya, Mera sawal yeh hai k Iss kitaab ki Asnaad/hawalay/references kiya hain..... - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, March 9, 2020

Nehaj-ul-Balagah Hazrat Ali a.s. khutbaat, khutoot aur Aqwaal par ek mujmoa hai, jo fourth century may Syed Razi r.a. ny tadween kiya, Mera sawal yeh hai k Iss kitaab ki Asnaad/hawalay/references kiya hain.....

Sawaal az : mohtaram janaab kabir sb (Pakistan)

Asalaam-o-Alikum!
Nehaj-ul-Balagah Hazrat Ali a.s. khutbaat, khutoot aur Aqwaal par ek mujmoa hai, jo fourth century may Syed Razi r.a. ny tadween kiya, Mera sawal yeh hai k Iss kitaab ki Asnaad/hawalay/references kiya hain, kis kis sy naqal ho kar pohnchi, aur iss ki 90 sy zyada shurah(guide) may konsi shurah aap recommend karain gay.
Jazak ALLAH
Ws-salam


jawaab :

                         
باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

qur'aan karim ke baad mohim tarin ketaab " nahjul balaagha " hai haqiqi islaam wa deen ki shanaakht ke liae behtarin zakhira hai

dunyawi wa oukhrawi tamaam masaa'ael ka zikr is me hai , maanawi wa maaddi omur ke mota'alliq buzurg tarin dastur-e-zindagi ka majmuaa hai

jadid olum ... ka bhi bahr-e-be karaan ( بحر بے کراں ) hai  seyaasi , samaaji , mulki our ma'aashi ... masaa'ael me behtarin mash'ale raah hai

ye azim wa laa jawaab ketaab baad az qur'aan shion ke imteyaazaat wa iftekhaaraat me se hai . agar kisi our qaum ke  paas aiysi ketaab hoti to zamin par kabhi oun ke qadam nahin padte

ba'qaul ibne abil hadid :

" dunyaa'ae arab ke tamaam sokhan shanaas ko chahiae ke ali ( عليه السلام ) ke kalemaat ke saamne sajda karen "

in tamaam baaton ke baawojud maulud-e-kaaba amirul momenin ali ( عليه السلام ) ke tamaam khutbaat wa awaamir  , our khotut o rasaa'ael , our hikmat aamez kalemaat wa mawaa'aez ka zikr is ketaab me nahi hai
is baat ka aeteraaf khud syed razi ( رضوان الله عليه ) ne nahjul balaagha ke moqad'dema me 2 jagah kiya hai :


aek jagah raqam karte hain :

jo mujhe nahi mila wo ous se kahin zeyaadah hai jo mujhe mila hai , our jo mujhe dastyaab huaa hai wo ous se bahot zeyaadah kam hai jo mujhe dastyaab nahi huaa

dusri jagah tahrir karte hain :

kuch makhsus safhaat saade chod diae hain taake agar aaeindaah na'ae wa jadid kalemaat ... milen to ous me aezaafa karen

syed razi ( نورالله مرقده ) ke baad " mustad'rakaat-e-nahjul balaagha " ya "mustadrak-e-nahjul balaagha " ke naam se bahot saari ketaaben shaa'ae huei hain

" mustadrak " ous ketaab ko kahte hain jo kisi ketaab ki takmil ya kami wa kotaahi ka aezaala wa talaafi ke taur par likhi jaati hai
benaabar ein " mustadrakaat-e-nahjul balaagha " wo ketaaben hain jin me oun khutbon , khotut our kalemaat ko likha gaya hai jin ka zikr kisi wajah se syed razi ( رضوان الله عليه ) ne nahjul balaagha me nahi kiya hai


bahar haal amirul momenin ali ( عليه السلام ) ki shahaadat ke taqriban 400 saal baad 400 hijri ( taqriban aek hazaar 41 saal pahle ) nahjul balaagha ki tadwin ki

Asnaad wa hawaale :

syed razi ( نور الله مرقده ) ne asnaad wa masaadir  ka zikr nahi kiya hai jis ki wajah se jaahil ya mota'assib ya amirul momenin ali ( عليه السلام ) se bughz o aenaad rakhne waale our nafraton ke aadi is ketaab ki haq'qaaniyat ko shak o shubhaa ki nazar se dekhte hain

is me khutba-e-shiq'she'qiyah (شقشقیہ ) hai is me kholafa ki khelaafat ko baatil qaraar diya hai our baaz mataalib aiyse hain jis se shion ki haq'qaaniyat our ali ( عليه السلام ) ki khelaafat bela fasl saabit hoti hai

is bena par kahte hain eilmi aetebaar se ghair motabar hai , in ke nazdik aasaan tariqa yahi hai ke bunyaad hi ko mash'kuk bana do


asnaad ke ta'alluq se pahle bataa dun ke syed razi ( طاب ثراه ) ne saink'don ( سینکڑوں ) masaadir wa madaarik se naql kiya hai

chun ke wo masaadir wa madaarik syed razi ( رحمة الله عليه ) ke daur me maujud the our raa'aej wa mash'hur bhi the , baa aasaani mohaq'qeqin dekh sakte the is liae asnaad zikr karne ki zarurat mahsus nahi ki
ous daur se apne daur ka moqaa'aesa nahi karna chahiae

albatta baad me olama wa mohaq'qeqin ne qadimi our tabqa-e-aw'val ki ketaabon se sainkdon asnaad our masaadir o madaarik ko jama kiya hai

Chand ketaabon ke naam darj zail hain :

(1) " madaareko nahjil balaagha wa daf'eish shubhaat anho " taalif shaiykh haadi aale kaasheful gheta

(2) " masaadero nahjil balaagha wa asaanidohu " taalif syed abduz'zahra husaini khatib

(3) " maa howa nahjul balaagha " taalif hebatud'deen shahristaani

(4) istenaad o nahjil balaagha taalif imteyaaz ali khaan arshi ( raam puri hindustaani ) ye ketaab english me likhi gaei hai lekin arabi wa faarsi me bhi tarjuma maujud hai

jadid likhi jaane waali chand ketaabon ke naam :

(6) " asnaad wa madaareko nahjil balaagha " our " rowaat wa mohad'desin-e-nahjul balaagha " taalif marhum shaikh mohammad dashti ...

(7) " madaareko nahjil balaagha " taalif ostaad-e-mohtaram shaiykh reza ostaadi ( دام ظله )

(8) " takmela minhaajul baraa'ah fi sharhe nahjil balaagha " taalif shaiykh hasan zaada aamoli ( دام ظله )

( is me nahjul balaagha ki tashrih bhi hai )

in ketaabon ke na hone ki surat me bhi " nahjul balaagha " motabar hai , jaahil wa ahmaq ya mota'assib hi is me shak kare ga
is liae ke nahjul balaagha ki matn wa aebaarat our mafaahim wa mataalib aetne qawi our mohkam wa aali hain ke aam insaan is se aajiz hai , is ke bas me nahi hai eisi liae " nahjul balaagha " ko "اخ القرآن " ( qur'aan ka bhaaei ) kaha gaya hai
ye ketaab mojeza hai , kalaame khaaliq se niche our kalaame makhluq se baala tar hai


" aaftaab aamad dalile aaftaab "


"آفتاب آمد دلیل آفتاب "


Nahjul balaagha ki sharhen :

qur'aan hakim ke baad sab se zeyaadah jis ketaab ki sharh wa tafsir likhi gaei hai wo " nahjul balaagha " hai is qadr is ki sharh hai ke oun ko shumaar karna mushkil hai
dusre ye ke oun me se baaz naayaab hain our mokhtalif wojuhaat ki bena par baaz tak rasaaei momkin nahi hai

 oustaad-e-mohtaram aayatullaah reza oustaadi ( دام ظله ) ne apni ketaab " ketaab naama-e-nahjul balaagha " me 370 sharh ka zikr kiya hai
our allaama amini ne 81 sharh ke naam likhe hain

( alghadir jild 4 p 186 - 193 qadimi edition 1366 kurshidi )

khulaasae kalaam :

jin sharhon wa tafsir se haqir zeyaadah istefaada karta hai oun me se chand ke naam ye hain :

(1) sharh-e-ibne abil hadid motazeli ( sunni aalim )

(2) payaam-e-imaam amirul momenin taalif oustaad-e-mohtaram aayatullaah makaarim shiraazi ( دام ظله )
( tadwin wa tanzim bazaria'ae baaz mohaq'qeqin )

(3) sharh-e-nahjil balaagha marhum allaama mohammad taqi jafari ( قدس سره )


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

13 / رجب / 1441ھ.ق

روز ولادت با سعادت مولود کعبہ امیر المومنین علی عليه السلام و روز پدر
Subscribe my channel
.