Dudh pilaane waali aurat ke roza aur kaffaarah ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 15, 2020

Dudh pilaane waali aurat ke roza aur kaffaarah ka hukm

Sawaal az : mohtarama janaab Farha Razavi Sb / Raebareli


Salamun Alaikum


meri bachi abhi chhoti hai aur ham roze nahi rakh rahe hain to roze ka kya kaffara hoga ?


Jawab ke muntazir hain


jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


dudh pilaane waali aurat ka dudh kam hai agar roze rakhne se ouse ya bach'chi / bach'che ko noqsaan wa zarar ho to aiysi aurat par roza waajib nahi hai


lekin baad me chhute huae rozon ki qaza karna waajib hai aur har din ka kaffaarah (aek mud ta'aam) shar'ei faqir ko de


is ka zikr monaasib hai ke benaabar aehteyaate waajib ye hukm (mazkura baala) is khaas jagah se makhsus hai ke bach'chi / bach'che ki khoraak sirf dudh pilaane waali aurat ka dudh hi ho, yaani ousi me munhasir ho, koei dusra raasta nahi


lekin agar bach'chi / bach'che ki khoraak wa gheza ke liae dusre raaste hon masalan chand auraten dudh pila sakti hain to pilaa'aen yaani dudh pilaane me sharik hon


ya gaa'ae (گائے) waghairah ka dudh ya sukha wa dibbe ka dudh ... pilaana momkin ho to benaabar aehteyaate waajib aiysi aurat ke liae roza na rakhna jaa'aez nahi hai (yaani rakhe)


Note :


  1. kaffaarah :

  2. 750 gr aata ya roti ya chaawal ya gandum ya khurma ya macaroni ya aalu ya ghosht ya is ke maanind chizen hain


    (ba'motaabiq nazare mobaarake Aayatullah Sistaani)


  3. aehteyaate waajib ka matlab fatwa nahi hai lehaaza sirf is mas'ale me dudh pilaane waali aurat sharaa'aet ke motaabiq kisi aiyse marja ki taqlid kar sakti hai jis ke nazdik is surat me bhi roza waajib nahi hai

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


17 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.