Sawaal az : +919941.....
As Salam walaikum Moulana Mazerat chahte hain.
Moulana hamaare do sawaal hai uske jawaab sahi se nahi mil raha hame.
- Q : Kya ham roze ke haalat me safar kar sakte hain? (400Km se 900km.) car se / flight se? Jis makan pe paunchenge waha pe khol sakhte hain roze?
- Q : Humare ghar se 500Km ke liye jaare eak / do din ke liye kya waha pe roze reh sakte hum?
- Q : Mecca / Medina ke ilaaqe me roze reh sakte hain?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمة الله و بركاته
- agar aap apne shahar (watan) se baad az zohr (zawaal ke baad) safar karen to roza sahih hai, jab iftaar ka waqt ho jaa'ae to kahin bhi iftaar kar sakte hain
- jahaan aap ga'ae hain agar wahaan 10 roz qeyaam (rukne) ka qasdo aeraada hai tab roza rakh sakte hain, agar is se kam rukne ka aeraada hai to roza sahih nahi hai
- makke ya madina'ae monaw'warah me bhi ousi waqt roza rakh sakte hain jab 10 roz rukne ka aeraada ho
lekin agar zohr ke pahle safar karen to jaiyse hi hadde tarakh'khus (حد ترخص) par pahunche roza baatil ho gaya
Wazaahat :
mosaafir ka roza sahih hone ya na hone me meyaar car ya flight ... se safar karna nahi hai balke meyaar shar'ei masaafat taiy karna hai
Aayatullaah Sistaani ke nazdik taqriban 22 km hai aur Rahbare Inqelaab ke nazdik taqriban 22.5 km hai
sirf madina'ae taiy'yebah me aejaazat di gaei hai ke agar 10 roz se kam rukne ka aeraada ho tab bhi haajat puri hone (talabe haajat) ke liae 3 mustahabbi roze rakh sakte hain
behtar wa aehteyaat ye hai ke budh, jumaraat aur jum'aa (بدھ ، جمعرات ، جمعہ) ke din rakhen
Note :
- hadde tarakh'khus :
- agar safar ka aeraada hai to hadde tarakh'khus par pahunchne ke pahle koei aiysa kaam nahi kar sakte hain jis se roza baatil ho jaata hai, agar aiysa kiya to qaza wa kaffaarah dono waajib hai
- Roze se feraar wa bachne ki khaatir maahe ramzaan me safar kar sakte hain lekin ye mosaaferat makruh hai
shahar (watan) ki ous jagah ko kahte hain jahaan se shahar ki diwaaren nazar na aa'aen ya azaan ki aawaaz sunaaei na de ya ahle shahar mosaafir ko na dekh paa'aen, is ki neshaani ye hai ke khud mosaafir shahar (watan) waalon ko na dekh paa'ae
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
6 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق
No comments:
Comment