Roze ki haalat me chehra dhone aur kulli karne ki tafsil aur keya paani halq se niche outar jaa'ae to roza baatil hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 15, 2020

Roze ki haalat me chehra dhone aur kulli karne ki tafsil aur keya paani halq se niche outar jaa'ae to roza baatil hai ?

Sawaal az : .....


Salamun alaikum


Agha ! Hamaara ek sawaal hai
agar! Roze main face wash karte waqt ya kulli karte waqt paani halq se niche chala jaaye toh roze ka kiya hukm hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Chehra dhone aur kulli karne ki mokhtalif suraten momkin hain :


  1. wozu ke liae

  2. safaa'ei aur nazaafat ke liae

  3. aiyse hi, bela wajah wa be faa'aedah

  4. roze daar bhul gaya ho ke roze se hai is haalat me chehra dho'ae aur kulli kare

  5. tashnagi wa peyaas ki wajah se yaani thandak (ٹھنڈک) wa khunki haasil karne ke liae


  6. pahli, dusri, tisri aur chauthi surat me agar roze daar mut'maein tha ke paani halq se niche nahi outre ga lekin wo achaanak aur be aekhteyaar halq se niche outar jaa'ae to roza baatil nahi hoga


    baad me qaza karna waajib nahi hai aur kaffaarah bhi nahi hai


    paanchwin surat me agar be aekhteyaar wa ittefaaq se paani halq se niche outar jaa'ae to sirf qaza karna waajib hai kaffaarah waajib nahi hai


Note :


  1. roze ki haalat me zeyaadah kulli karna makruh hai (yaani roze ka sawaab kam ho jaa'ae ga)

  2. kulli karne ke baad agar aabe dahan nigalne ka aeraada ho to behtar hai 3 martaba thuk den (taake itminaan ho jaa'ae munh me paani nahi hai)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


16 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.