Sawaal az : Mohtaram Janaab Abuzar Aabedi Sb / + 919368... / Chandigarh
Slamun alaikum Qibla,
Ummid karta hu k aap khaireyat se honge. Allah aapko khairo Aafiyat se rakkhe.
Aameen🤲.
Mera Sawaal hai Kya wuzu karne ke baad apne hath aur muh ko towel se khushk kar sakte hai?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
بہت بہت شکریہ
Ji khushk kar sakte hain lekin wozu ke paani ko khushk karna makruh hai
Wozu ke ta'alluq se chand chizen waajib hain aur chand chizen mustahab wa makruh hain
aap ke sawaal ka rabt makruhaate wozu se hai lehaaza chand dusre makruhaate wozu molaaheza farmaa'aen :
- Istinja ki jagah wozu karna yaani peshaab ya pakhaane ke baad najaasat se apne aap ko paak karne ki jagah wozu karna
- Ous paani se wozu karna jo suraj ki garmi se garm ho gaya ho
- Khud wozu karne me nahi balke paani daalne me dusre se madad lena masalan koei paani daale aur wozu karne waala khud aazaa'ae wozu par paani pahunchaa'ae ye makruh hai
lekin mas'h karne me madad lena jaa'aez nahi hai - Ous bartan se wozu karna jis par sone ya chaandi ki qalaei (قلعی) huei hai
ya ous bartan se karna jis par taswir bani hai - Wozu karte waqt Aabe wozu me israaf (fozul kharchi)
Wazaahat :
Is waqt hammaam, washroom aur munh haath dhone ki jagah aek hi saath wa aek hi jagah banaaei jaati hai to keya aiysi jagah wozu karna makruh hai ?
Jawaab :
Istinja karne ki jagah, wozu karna makruh hai munh haath dhone ki jagah (wash stand sink) juda (alag) hota hai lehaaza yahaan wozu karna makruh nahi hai
Wazaahat :
Israaf to haraam hai phir yahaan makruh keyun hai ?
Jawaab :
Makruh ous waqt hai jab paani ki qimat wa ahamiyat na ho masalan kahin paani farawaan ho
Jahaan paani kam hai aur ous ki ahamiyat wa qimat hai to wahaan israaf haraam hai
Israaf ka meyaar wa kasauti :
Rewaayat me hai ke mustahab hai wozu karne me aek mud aur ghusl karne me aek saa (صاع) paani istemaal karen
Is se zeyaadah istemaal karna israaf hai
Aek mud : taqriban 750 gr hai
Aek saa : taqriban 4 mud ke baraabar hai yaani 3000 (tin hazaar) gr (3 Liter)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
4 / جمادى الاولى / 1440ھ.ق
No comments:
Comment