qurbaani ke jaanwar ki oumr | sharaa'aet | waqt - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, July 30, 2020

qurbaani ke jaanwar ki oumr | sharaa'aet | waqt

Sawaal az : +91842970....


As Salaam walekum qibla Eid Mubarak ho aapko aur aapki family Ko


Qibla kurbani ke liye bakra kitne mahine ka zaroori hai ya daant hona zaroori hai aur kya eid ki namaz ke pahle kurbani ho Sakti hai


Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
آپ کو بهی مبارک ہو


mustahab qurbaani (jaiyse eide qurbaan ki qurbaani) me aib'daar na hone aur sin ke ta'alluq se koei khaas shart nahi hai, lehaaza aib'daar wa kam oumr jaanwaar qurbaani kar sakte hain


haj ki qurbaani ke liae khaas sharaa'aet hain, oun me se ye hai ke agar bakra (wa bakri) hai to 2 saal se kam na ho, tisre saal me daakhil ho gaya ho aur gosfand 7 mahine ka mokammal ho gaya ho aur aathwen mahine me daakhil ho gaya ho ...


ye sharaa'aet mustahab qurbaani me motabar nahi hain, albatta behtar hai mustahab qurbaani me bhi baaz oun sharaa'aet ki re'aayat ki jaa'ae jo waajib qurbaani ke liae hain, lekin zaruri nahi hai


daat ka hona zaruri nahi hai


eid ki namaaz padhne ke pahle aur baad me ya qabl az zohr wa baad az zohr kar sakte hain, koei farq nahi hai
Lekin qurbaani ka behtarin waqt eide qurbaan ke din tolu'ae aaftaab ke baad ous waqt tak hai jab tak namaaze eid ada kar sakte hain yaani tolu'ae aaftaab se zawaale aaftaab tak


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


10 / ذی الحجہ / 1440 ھ.ق

روز عید سعید قربان

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.