Aayate ghadir | mardon | auraton ka Ali (a.s) ki bay'at karna - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, August 8, 2020

Aayate ghadir | mardon | auraton ka Ali (a.s) ki bay'at karna

Sawaal az : mohtaram janaab wajid Ali sb, bhilai (Chhattisgarh)


Assalamo alaikum Wa Rahmatullahe Wa Barkatahu


Aagha mujhe eide ghadeer ke hawaale se tafseel se wazahat chahiye kon si aayat nazil hui tarjuma tafseer aur ahdeese masoomeen as


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


hazrat Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) aakheri haj karne ke baad makkaah se madina chale, raaste me joh'fa (جُحفَہ) ke qarib maqaame khum me pahunche, jahaan aek taalaab-e-ghadir tha to surah maa'aedah ki aayat 67 outri :


"aiy Rasul jo hukm aap ke parwardegaar ki taraf se aap ko bhej diya gaya hai ouse ab pahuncha dijiae, agar aap ne aiysa nahi kiya to (samjha jaa'ae ga ke) resaalat ka koei kaam nahi kiya aur Allah aap ko logon ke shar se bachaa'ae ga ... "


hazrat fauran outar pade aur ount ke paalaano ka mimbar taiy'yaar karaaya phir ous par hazrat Ali (علیه السلام) ko le jaa kar aek khutba farmaaya ... phir farmaaya logo keya main tumhaare nazdik tumhaare nafson se aulaa nahi hun ?
sab ne kaha beshak hain, tab aap ne farmaaya jis ke nafs se main aulaa hun Ali bhi ous ke nafs se aulaa hain aur hazrat Ali (علیه السلام) ka haath pakad kar outhaaya aur aetna baland kiya ke baghal ki safedi nazar aane lagi, phir farmaaya :


من کنت مولاه فهذا علی مولاه ...


jis ka me maula hun ye Ali bhi ous ke maula hain, aiy Allaah jo in ko apna maula samjhe tu ous ko dost rakh aur jo in se dushmani rakhe ous ko tu bhi dushman rakh, jo in ki madad kare ous ki tu bhi madad kar aur jo in ko chhod de tu bhi ouse chhod de aur ye jidhar phiren oudhar hi tu haq ko bhi pher ...


is ke baad Surah-e-maa'aedah ki aayat 3 naazil huei :


" ... aaj main ne tumhaare liae tumhaare din ko kaamil kar diya aur aap ke oupar apni nemat tamaam kar di aur aap ke liae dine islaam ko pasand kar liya ... "


aelaane welaayat ke baad Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ne hukm diya ke Ali (عليه السلام) ke liae khayima alag nasb kiya jaa'ae aur tamaam haazerin aap ko mobaarak baad pesh karen aur bay'at bhi karen
hatta apne tamaam azwaaj aur auraton ko hukm diya ke Ali (عليه السلام) ki bay'at karen


Auraton ki bay'at karne ka tariqa ye tha :


Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ne hukm diya ke aek parda lagaaya jaa'ae aur paani se bhara huaa aek bada bartan is tarah rakhen ke ous ka aadha hissa parde ki aek jaanib ho aur dusra parde ki dusri jaanib


phir hukm diya ke aek taraf Amirul Momenin Ali (عليه السلام) paani me apna haath daalen aur jin auraton ne Ali (عليه السلام) ki welaayat wa imaamat ko qabul kiya wo paani se pur bartan ke dusre hisse me apna haath daal kar nikaal len


Note :


mazid tafsil ke liae niche recommend kiae ga'ae pdf maqaalah ko padh len



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum /iran


14 / ذى الحجه / 1440 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.