sunniyon ki mokhtalif ketaabon me waaqea'ae ghadeer | hadis-e-ghadeer ka tazkerah - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, August 7, 2020

sunniyon ki mokhtalif ketaabon me waaqea'ae ghadeer | hadis-e-ghadeer ka tazkerah

Sawaal az : +91867784.....


Assalam o Aalaikum

Eid-E-Ghadir ki mubarkbaad


Mujhhe Kuch Kittab (books) ka naam bataye jisme "MAN KUNTU MOLA FAHHAZZA ALI UN MOLA ka rasusullah s.a.w.w. ne aaillan kiya tha,,aisi book ka naam batye jisko Ahle Sunat aur wahabi bhi mannte ho


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
آپ کو بھی بہت بہت مبارک ہو


ahle sunnat ke olama, mowarrekhin, mofasserin aur mohaddesin ne Waaqea'ae Ghadir aur Hadise Ghadir (man kunto maulaaho fahaaza alioun maulaaho ... / من كنت مولاه فهذا على مولاه ...) ko mokhtalif tariqon se naql kiya hai


Hadise Ghadir za'eif nahi hai, khud baaz olamaa'ae ahle sunnat ne aeteraaf kiya hai ke ye hadis motabar, motawaatir aur hasan wa sahih hai


Waaqea'ae Ghadir aur Hadise Ghadir naa qaabile inkaar haqiqat hai is se koei bhi samajh'daar shakhs inkaar nahi kar sakta


Waaqea'ae Ghadir aur Hadise Ghadir ke ta'alluq se mohaq'qeqin aur olamaa'ae ahle sunnat ne jo likha hai sirf ous ko likhne ke liae kaei jild ketaabon ki zarurat hai


aekhtesaar ke peshe nazar sirf chand ketaabon ka hawaala diya jaa raha hai, oun ketaabon me Waaqea'ae Ghadir wa Hadise Ghadir ka zikr hai, baaz me tafsil ke saath to baaz me aekhtesaar ke saath :


  1. Sonanut'tirmezi

  2. (jild 5 p 591 baab 20 - manaaqib-e-ali ibn-e-abi taalib / matbuaa daarul fikr)


    ye ketaab sehaa'ae sittah (صحاح ستہ) yaani ahle sunnat ki 6 mustanad wa motabar ketaabon me se hai, is me Hadise Ghadir ke baare me likha hai ye hadis hasan wa sahih hai


  3. Musnad ahmad ibne hambal

  4. is ketaab me kaei jagah Waaqea'ae Ghadir wa Hadise Ghadir ka zikr hai, jid 1 p 340 hadis No 950 me jo likha hai ous ka khulaasa is tarah hai :


    Hazrat Ali (عليه السلام) ne maqaame Rahaba (رَحَبَه) me logon ko jama kiya aur farmaaya :


    tumhen qasam deta hun jis ne bhi is ta'alluq se koei baat Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se suni hai aur yaad hai to apni jagah se outhe, 30 log outhe aur gawaahi di ke roze ghadir Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


    keya me tumhaare nazdik tumhaare nafson se aula nahi hun ? ... sab ne kaha, beshak hain. tab aap ne Hazrat Ali (عليه السلام) ka haath pakad kar farmaaya :


    jis ka main maula hun ye (Ali) bhi ous ke maula hain ...


    ye ketaab ahle sunnat aur wahaabiyon ke nazdik nehaayat motabar hai is ke likhne waale "Hambal" hain, ahle sunnat ke 4 imaamon me se hain aur Hambali firqe ke ra'eis hain


  5. Al-mustadrak alal sahihain

  6. (jild 3 p 613 taalif haakim naisha buri - ketaab maarefatus sahaabah / matbuaa daarul ketaabul eilmiya / berut)


    ye ketaab sahih bokhaari aur sahih muslim ka takmela hai


  7. Mosannaf ibne abi shaiba

  8. (jild 7 p 495 / matbuaa daarul fikr / berut)


    ahle sunnat ke nazdik is ketaab ke likhne waale bar'jasta faqih wa mohaddis ... hain


  9. Al-mo'jamul kabir

  10. (jild 5 p 171 / taalif ahmad tabarani / naashir maktaba ibne taymiyyah / qaahera)


  11. Ous'dul ghaaba fi maarefatis sahaaba

  12. (jild 1 p 308 / taalif ibne asir / matbuaa maktaba al-ma'aarif reyaaz)


  13. Tazkeratul khawaas ...

  14. (p 31 wa 32 / hadis " man kunto maulaaho ... " / taalif sibte ibne jauzi)


    Sibte ibne jauzi ka naam suna hoga ahle sunnat ke mash'hur aalim hain


    inhon ne aeteraaf kiya hai ke Hadise Ghadir me maula se moraad (naasir, mahbub ... nahi hai) aula wa bartar (imaam wa khalifa) hai


    bahas tafsili wa eilmi hai ahle eilm padh len


  15. Minhaaj as'sunnah ...

  16. (jild 7 p 318 / taalif ibne taymiyyah / tahqiq doctor mohammad rashaad saalim / naashir moas'sasaah qartaba)


    Ibne Taymiyyah (ra'eise gerohe wahaabi wa takfiri) ne is ketaab me aeteraaf kiya hai ke "Hadis-e-saqalain, itrat wa Ghadir", Ghadir-e-khum me Rasule akram (صلی الله علیه و آلہ) ne irshaad farmaa'ei


    meri nazar me Ibne Taymiyyah naasebi wa dushmane Ali (عليه السلام) wa dushmane shia tha is ke baawojud in hadison ka aeteraaf kiya ye bahot badi baat hai


    wahaabiyon wa takfiriyon ke nazdik "Minhaaj as'sunnah" qur'aan karim se zeyaadah maqbul hai is liae ke qur'aan ki baat nahi maante lekin is ketaab me jo kaha gaya hai ous ko maante hain aur ous par amal bhi karte hain, dahshat gardi ... muh (منھ) bolta sobut hai, is me jo bakwaas wa khorafaat hain ous ko wah'ye munzal samajhte hain


  17. Tafsire fakhre raazi

  18. [jild 12 p 49 ( tafsir-e-surah maaedaah aayat 67 )] :


    "aiy Rasul jo hukm aap ke parwar degaar ki jaanib se aap ko bhej diya gaya hai ouse ab pahuncha dijiae ..."


    is aayat ki tafsir me 10 aqwaal likhe hain, ye aek khula ta'assub hai ke daswen wa sab se aakheri qaul me likhte hain :


    ye aayat Hazrat Ali (عليه السلام) ki fazilat wa shaan me naazil huei aur jab ye aayat naazil huei to Hazrat Ali (عليه السلام) ka haath pakad kar farmaaya :


    jis ka main maula hun Ali bhi ous ke maula hain, aiy Allaah jo in ko apna maula samjhe tu ous ko dost rakh aur jo in se dushmani rakhe ous ko tu bhi dushman rakh


    is ke baad raqam taraaz hain ye bhi qaabile tawaj'joh hai :


    Omar hazrat Ali (عليه السلام) ke paas aa'ae aur kaha :


    mobaarak ho aap ko aiy farzande Abu taalib ke aap mere aur tamaam momin mardon aur auraton ke maula ho ga'ae


aakhir me Abu Hanifa ke aek qaul par jawaab khatm karta hun :


لَا تُقِرُّوا لَهُم بِحَدِيثِ غَدِيرِ خُمِّ فَيَخصِمُوكُم


Abu Hanifa ne apne as'haab se kaha, shi'on se monaazarah karte waqt Hadise Ghadir ka aeteraaf wa aeqraar na karo is liae ke agar aeqraar wa aeteraaf kar liya to maghlub ho jaao ge


(al-amaali p 26 h 9 fakhr-e-shia shaikh mofid)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalat qum / iran


18 / ذى الحجه / 1440ھ.ق

🎊🌹 روز عید سعید غدیر خم🌹🎊

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.