maahe moharram me sher-o-shaa'aeri ka hukm | ruae zamin par sab se pahle marsiya janaabe aadam ne kaha - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, August 26, 2020

maahe moharram me sher-o-shaa'aeri ka hukm | ruae zamin par sab se pahle marsiya janaabe aadam ne kaha

sawaal az :+9180816.....

Salamun Alaikum
Mera naam Samar hai mai Agha sistani sb. Ki Taqlid karta hu
Mera swaal hai ki muharram me majlis me sher-o-shayri karna sahi hai ya nahi Q ki ye gham ka mahina hai aur sher-o-shayri to jashn ke din par hoti hai.
Jawaab ka talabgaar🙏
Shukriya

jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar sher-o-shaaeri se moraad ahl-e-bait-e-ismato tahaarat ( صلوات الله عليهم ) ke fazaael wa manaaqib ... ko sher ki surat me bayaan karna hai ya soz , salaam , marsiyah wa nauhaa ... hai to ye na sirf sahih hai balke baa'ae-se - ajr-o-sawaab hai
Aur agar sher-o-shaaeri se moraad jashn-o-sorur aur khushi manaana hai to ye azaadaari ki be aehteraami hai jaa'aez nahi hai haraam hai ye banu-omaiy'ya ... ki sirat hai

moharram wa safar ka aehteraam zaruri wa waajib hai lehaaza momenin in do mahinon me koei aiysa kaam na karen jo sorur wa shaadmaani aur khushi ka sabab bane

Note :

shaaeri wa marsiyaah ki taarikh bahot puraani wa qadimi hai taarikh me naql huaa hai ke ru-e-zameen par sab se pahla marsiyaah janaab-e-aadam ne kaha tha jab qaabeel ne haabeel ko qatl kar diya to apne laa'aeq farzand ki wafaat par baap ne izhaar-e-gham marsiyah kah kar kiya

karbala waghirah me bhi aiysi misaalen bahot milti hain


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat qum / iran

۔4 / محرم / 1441ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.