momenine geraami qadr - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, September 5, 2020

momenine geraami qadr

باسمه تعالى
سلام عليكم


السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


covid-19 ke dauraan majlis waghairah ke mota'alliq mahdudiyat hai aur joluse aza par paabandi


is ke khelaaf momeneen aur azaadaaron me be'chaini, maayusi aur sakht tashwish wa ghos'sa paaya jaata hai
yaqinan ye oun ke eimaan aur Imaam Hussain (عليه السلام) se mohabbat ki alaamat wa neshaani hai


aap ki khidmat me arz kar dun ke ghabraane ki koei baat nahi hai is liae ke azaadaari khatre me nahi hai balke coronavirus ki wajah se waqti mahdudiyat hai, agar azaadaari khatre me hoti to is ke liae apni jaan bhi qurbaan kar dete


waise azaadaari ko koei bhi taaqat khatm nahi kar sakti hai, is liae ke is ka mohaafiz khoda hai


lehaaza edaara'ae sehat ki hefaazati wa aehteyaati tadaabir ko aekhteyaar karte huae behtar se behtar andaaz me azaadaari karen, is liae ke corona ko bahana bana kar azaadaari ko bikul se taatil karna kabira gunaah hai, keyon ke insaaniyat aur haqiqi islaam is se baaqi hai, ye musalmaanon ki izzat aur waqaar ka sar chashma hai, hamaara insaani, akhlaaqi aur shar'ei wazifa wa fariza bhi hai


shia mazhab ki bunyaad imaamat aur aqlo sho'our par qaa'aem hai, lehaaza aqlo sho'our ka taqaaza ye hai ke edaara'ae sehat ki hedaayaat par amal karen dusre ye ke agar ous par amal nahi karen ge to hindu'on me jo dahshat'gard tanzimen hain ham ko dusri tablighi jamaa'at bana den ge aur musalmaanon me jo dahshat gard tanzimen hain jaise wahaabi wa takfiri, azaadaari aur azaadaaron ke khelaaf mazid zahr ougalne lagen gi


ham ko court ya kisi neta se raabeta karne ki zarurat nahi hai balke har aelaaqe ke momenin, olama'ae ba amal aur daanesh mandaan wa hamdardaane qaum ki raa'ae mashwere se kaam karen aur monaasib aeqdaam wa azaadaari ke zariae apne tamaddun, aqlo sho'our aur insaaniyat ka paighaam logon tak pahonchaa'aen


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat


9 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.