Baaz sunni olama ne yazid par laanat karne se keyoun mana kiya ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, September 15, 2020

Baaz sunni olama ne yazid par laanat karne se keyoun mana kiya ?

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


Yazid bin Mo'aawiya par laanat karne ke ta'alluq se sunni olama ke darmeyaan aekhtelaaf paaya jaata hai baaz kahte hain jaa'aez hai aur baaz ous ke kufr wa kartut makhsusan Imaam Husain aur Ahle haram (سلام الله عليهم) ke saath jo kuchh kiya ous ki wajah se waajib samajhte hain aur ous ke naam ke sath mal'oun aur palid likhte hain
(Yazid ke mota'alliq aiyse olama ka aqida shi'on se bahot nazdik wa qarib hai)


aur baaz khaamoshi aur sokut aekhteyaar karte hain aur baaz jaa'aez nahi samajhte hain albatta jaa'aez na samajhne waalon ki taadaat bahot kam wa mut'thi bhar hai
sabke paas apni apni dalilen hain


saari baaton ko nazar andaaz karte huae mujhe sirf ye batlaana hai ke jo log Yazid par laanat karne se mana karte hain oun ke mana karne ka sabab wa wajah keya hai ?


is baare me kuchh bayaan karne se pahle Yazid ke baap ke baare me bata dun ke Mo'aawiya par laanat karne se keyon mana kiya jaata hai ?


Sunni bhaa'eiyon ke aek mash'hur wa maaruf aalim aur faqih janaab Abul Qaasim saaheb al'maaruf ba "Ibne Asaakir" hain in ki aek ketaab "taarikhe madina demashq" hai is ko "at'taarikhul kabir" aur taarikhe ibne asaakir bhi kahte hain
Ye ketaab shi'a wa sunni dono ke nazdik bahot mohim hai


"Taarikhe demashq" ki talkhis bhi sunni aalim janaab Mohammad bin Mokarram saaheb al'maaruf ba Ibne Manzur ne ba'naame "mokhtasar Taarikhe demashq" ki hai


Is ki jild 25 safha 75 par jo likha hai molaaheza farmaa'aen :


قال وَكيع : معاويه بمنزلة حلقة الباب ، مَن حركه اتَّهمناه على مَن فوقه۔۔۔


Mafhum : " Waki kahte hain : Mo'aawiya darwaaza ke halqa ki tarah hai (pahle darwaaze par ghanti nahi hoti thi balke halqa rahta tha khat khataane ke liae) jo ous ko hilaa'ae wa darwaaze par maare to ham ous par tohmat lagaa'aen gen ke wo chaahta hai ke Mo'aawiya se oupar tak jaa'ae (yaani agar kisi ne Mo'aawiya par laanat ka darwaaza khol diya to) ous ki laanat oun logon tak bhi jaa'ae gi jin logon ne Mo'aawiya ki hemaayat ki hai, ous ko governor banaaya, ous ko chhut di aur mazbut kiya ..."


sunniyon ke aek maaruf aur jaiy'yid aalim wa mosan'nif janaab "Mas'oud bin Umar taftaazaani" saaheb apni mash'hur wa maaruf ketaab "shar'hul maqaasid" jild 5 safha 311 wa 312 par raqam taraaz hain :


فان قيل : فمن علماء المذهب من لم يجوز اللعن على يزيد مع علمهم بانه يستحق على ما يربوا على ذالك و يزيد !! قلنا : تحاميا ان يرتقى الى الاعلى فالاعلى


Mafhum : agar kaha jaa'ae (koei aeteraaz kare) ke olamaa'ae mazhab (sunni olama) me se baaz Yazid par laanat karne ko jaa'aez nahi samajhte hain jab ke oun ko is baat ka ilm hai ke Yazid laanat balke laanat se bhi baalatar ka mustahaq hai (ya bahot saari laanaton ka mustahaq hai) !! To oun ke jawaab me kahenge : (ham ahle sunnat ko) is baat ka khauf wa andesha hai ke agar Yazid par laanat ki jaa'ae aur ye raa'aej ho jaa'ae to ye laanat ous ke bahot oupar tak pahunchegi


Taftaazaani saaheb ki mazkura baala aebaarat ki mokhtasar wazaahat zaruri hai


Yazid, zaalim, be'raham, dagha baaz, gaane bajaane, naach aur sharaab khaari me din raat basar karta tha


wahi ka munkir tha Imaam Husain ( عليه السلام) ke daanton ko chhadi se maar kar kufri'ya ash'aar bhi padhta tha jis me ye bhi kaha "dar haqiqat bani haashim ne mulk giri ke dhakosale nikaale the warna waaqe'aa ye hai ke oun (Mohammad) ke paas na kabhi koei farishta aaya tha aur na koei wahi naazil huei thi


Waaqea'ae Karbala ke baad Madine ka waaqe'aa "Harra" jis ke dauraan jo harkaat Yazid aur Yazidi lashkar ne anjaam di'n, ounhen bayaan karte huae hatta kaei sunni olama ko bhi sharm aati hai aur oun ke haath kaanp outhe hain


aek hazaar naa jaa'aez bach'che paida huae aur na jaane kitni auraton wa ladkiyon ki eismat dari ki aur oun ki izzaten lutin khoda jaanta hai


das hazaar (10000) logon ka qatle aam huaa saat sau (700) mohaajerin wa ansaar ko qatl kiya aur assi (80) sahaaba ko bhi qatl kiya


Kaaba aur Masjedun Nabi (صلى الله عليه وآله) ki azmat wa hurmat ko paamaal kiya, Masjedun Nabi (صلى الله عليه وآله) me ghode baandhe ga'ae, khaana'ae kaaba par sang baari ki aur nazre aatish bhi kiya


Aulaade Rasule khoda (سلام الله عليھم) ke saath jo kuchh kiya wo alag hai
in tamaam baaton ko sunniyon ke jaiy'yid olama, mowarrekhin aur mohaddesin ne likha hai


in baaton se wahi inkaar kar sakta hai jis ki ragon me naasebiyat ka najis khun jaari wa saari hai ya bimaar hai


sawaal : Yazid ko khalifa kisne banaaya ? Maalum hai ous ke baap Mo'aawiya ne, aur marte waqt Mo'aawiya ne Yazid se wasiyat bhi ki thi ke agar Ahle Madina tumhaare khelaaf qeyaam karen to oun ko kuchalne ke liae sirf "Muslim bin Ouqba" hai Yazid ne isi ko Madine ka haakim bhi banaaya tha ye eintehaaei sang dil tha, waaqe'aae "Harra" isi ki rahbari me huaa


Mo'aawiya ko shaam ka governor wa haakim kis ne banaaya ? Dusre khalifa Umar ne

aur Ousmaan ne bhi har tarah se Mo'aawiya ki hemaayat ki, Mo'aawiya Ousmaan ka rishtedaar bhi tha


Umar ko khalifa kis ne banaaya ? Pahle khalifa Abu Bakr ne


Natija


Yazid ke saare jaraa'aem ... me ye log sharik hain is liae ke bunyaad einhin logon ne rakhi hai lehaaza agar Yazid par laanat ki jaa'ae gi to in sab par bhi laanat ho gi, laanat ka silsila oupar tak pahonche ga


isi liae baaz sunni olama ne kaha hai ke Yazid par laanat karna jaa'aez nahi hai, apne is mauqif par ade rahne ki yahi wajah hai


jo log Yazid ko maasum qaraar dete hain aur ous ke saare jaraa'aem se inkaar karte hain aur kisi na kisi bahaane se Yazid ko bachaane ki naakaam koshish karte rahte hain, ba'naame "azmate sahaaba" Yazid ka defaa karte hain chand roz qabl Karaanchi me yahi huaa


Yazid zindaa baad ke naare lagaa'ae ga'ae wahi log Abu Sufyaan, Amr'aas, Oumare Saad aur Yazid ... par laanat karne se manaa karte hain aur laanat karne waale ka wahshiyaana tariqe se qatl bhi kar dete hain


is ka raaz wa sabab wahi hai jo sunni aalim ne bayaan kiya


momenine geraami ki khidmat me arz kar dun ghabraane ki koei baat nahi hai jab tak baatil hai haqo baatil ki jang hoti rahe gi is raah me shi'on ne hamesha qurbaaniyaan di aur dete rahen ge kabhi bhi pichhe nahi haten gen


موسی و فرعون و شبیر و یزید
این دو قوت از حیات آمد پدید


musaa wa firaun wa shabbir o yazeed
ein do quwat az hayaat aamad padeed


is dunya me jab tak fir'auniyat hai ous ka moqaabala karne ke liae aek Musa hai "har fir'aune raa musaa" (هر فرعونی را موسی)

aur jab tak Yazidiyat hai Husainiyat ki awaaz baland hoti rahe gi
sepaahe sahaaba, takfiri aur khaa'aen, ghaddar wa mujrim kath mullaa is awaaz ko kabhi bhi nahi dabaa sakte hain


Meri doa hai ke jo dildaada gaane Yazid aur Yazidi hain khoda oun ka hashr Yazid bin Mo'aawiya ke saath kare


Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat


26 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق


this article transliterated by "Saiyed Mohammad Tabish" from urdu to roman urdu



No comments:

Comment

.