Jab hazrat zakariya imaam husain ka naam lete to aap ki aankho me aansu aa jaate the | surah maryam ki aayat me kaaf, haa, yaa, ain aur saad se moraad keya hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, September 19, 2020

Jab hazrat zakariya imaam husain ka naam lete to aap ki aankho me aansu aa jaate the | surah maryam ki aayat me kaaf, haa, yaa, ain aur saad se moraad keya hai ?

Sawaal az : mohtarama janaab Fatima sb (lucknow)


the first verse of surah Maryam which begins with Kaf-Ha-Ya-Ayn-Suad,
Kya kabhi iska matlab maula Ali ney bataya hai?
Aur dusra sawaal yeh hai
Ke me roz sham ko namaaz ke baad surey yaseen lagati hu ..kisi ne mujhko bola roz ni sunna chahiye ek dua jalali surah hai


Jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسین
و على اولاد الحسين و على اصحاب الحسین


سلام عليكم


kaaf , haa , yaa , ain , saad surah maryam ki pahli aayat hai , ye 5 horuf ka maj'muaa hai
is aayat ki taawil ke baare me Saad bin abdullah ne Imaame Asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) se sawaal kiya to aap ne kam-seni me is tarah jawaab diya :


ye horuf ghaib ki khabron me se hain (yaani is me ghaibi khabren hain) khoda ne apne bande "Zakariya" ko ous se aagaah kiya phir ous ko Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) se bayaan farmaaya


Qissa yun hai :


janaabe zakariya ne khoda se darkhaast ki mujhe 5 naamon ki taalim de , ba hukme khoda janaabe jibraeil naazil huae aur oun 5 naamon ki taalim di


ous ke baad jab bhi janaabe zakariya mohammad , ali , faatema aur hasan (صلوات الله و سلامه عليهم) ka naam lete the saare gham-o-andoh bar taraf wa dur ho jaate the aur gham , khushi me tabdil ho jaata tha


lekin jab bhi imaam hussain (عليه السلام) ka mobaarak naam lete the rone se phand lag jaata tha ( gala ghuntne lagta tha ) aur haanpne lagte the (saans oukhad jaati thi)
aek roz khoda se pucha baare aelaaha jab bhi 4 buzurgon ka naam leta hun to oun naamon se tasalli hoti hai aur mera gham-o-andoh dur ho jaata hai
lekin jaiyse hi hussain (عليه السلام) ko yaad karta hun to aankhon se aansu jaari ho jaate hain aur chikh nikalne lagti hai ?


khoda ne janaabe zakariya ko aek qisse se is tarah baa khabar kiya :


harfe kaaf "karbala" ka naam hai aur haa "halaakate (shahaadate)" eitrat hai aur yaa "yazid" (لعنةالله) hai ye wahi hai jo imaam hussain (عليه السلام) par zulm kare ga aur ain aap ki "atash wa tashnagi" hai aur saad "sabre hussain" (عليه السلام) hai


ye sunne ke baad janaabe zakariya ne sab ko milne se rok diya aur mosalsal 3 roz tak masjid me namaaz, girya-o-zaari aur marsiya khaani me masruf rahe ...


hadis ki asl arabi aebaarat molaaheza farma len :


" سَأَلَ سَعْدبْنُ‌عَبْدِ‌اللَّهِ الْقَائِمَ (عجل الله تعالی فرجه الشریف) عَنْ تَأْوِیلِ کهیعص قَالَ (علیه السلام) هَذِهِ الْحُرُوفُ مِنْ أَنْبَاءِ الْغَیْبِ أَطْلَعَ اللَّهُ عَلَیْهَا عَبْدَهُ زَکَرِیَّا (علیه السلام) ثُمَّ قَصَّهَا عَلَی مُحَمَّدٍ (صلی الله علیه و آله) وَ ذَلِکَ أَنَّ زَکَرِیَّا (علیه السلام) سَأَلَ رَبَّهُ أَنْ یُعَلِّمَهُ أَسْمَاءَ الْخَمْسَهًِْ فَأَهْبَطَ عَلَیْهِ جَبْرَئِیلَ (علیه السلام) فَعَلَّمَهُ إِیَّاهَا فَکَانَ زَکَرِیَّا (علیه السلام) إِذَا ذَکَرَ مُحَمَّداً (صلی الله علیه و آله) وَ عَلِیّاً (علیه السلام) وَ فَاطِمَهًَْ (سلام الله علیها) وَ الْحَسَنَ (علیه السلام) سُرِّیَ عَنْهُ هَمُّهُ وَ انْجَلَی کَرْبُهُ وَ إِذَا ذَکَرَ اسْمَ الْحُسَیْنِ (علیه السلام) خَنَقَتْهُ الْعَبْرَهًُْ وَ وَقَعَتْ عَلَیْهِ الْبُهْرَهًُْ فَقَالَ (علیه السلام) ذَاتَ یَوْمٍ إِلَهِی مَا بَالِی إِذْ ذَکَرْتُ أَرْبَعَهًًْ مِنْهُمْ تَسَلَّیْتُ بِأَسْمَائِهِمْ مِنْ هُمُومِی وَ إِذَا ذَکَرْتُ الْحُسَیْنَ (علیه السلام) تَدْمَعُ عَیْنِی وَ تَثُورُ زَفْرَتِی فَأَنْبَأَهُ اللَّهُ تَبَارَکَ وَ تَعَالَی عَنْ قِصَّتِهِ فَقَالَ کهیعص فَالْکَافُ اسْمُ کَرْبَلَاءَ وَ الْهَاءُ هَلَاکُ الْعِتْرَهًِْ وَ الْیَاءُ یَزِیدُ وَ هُوَ ظَالِمُ الْحُسَیْنِ (علیه السلام) وَ الْعَیْنُ عَطَشُهُ وَ الصَّادُ صَبْرُهُ فَلَمَّا سَمِعَ ذَلِکَ زَکَرِیَّا (علیه السلام) لَمْ یُفَارِقْ مَسْجِدَهُ ثَلَاثَهًَْ أَیَّامٍ وَ مَنَعَ فِیهِنَّ النَّاسَ مِنْ الدُّخُولِ عَلَیْهِ وَ أَقْبَلَ عَلَی الْبُکَاءِ وَ النَّحِیبِ وَ کَانَ یُرْثِیهِ...:


(tafsire saafi surah maryam ki tafsire / aehtejaaje tabrasi jild 2 p 571 baab aehtejaajul hujjatil qaa'aem ...)


ye 5 horuf in 5 chizon ki taraf aeshaara aur oun ki alaamat hain


baaz dusri ketaabon me likha hai :


janaabe zainab (سلام الله عليها) kufe me auraton ko surah maryam ki tafsir ka dars de rahi thin , dars ke baad amirul momenin ali ( عليه السلام ) ne farmaaya :


beti ye ramz wa aeshaara hai waaqea'ae karbala aur oun mosibaton ki taraf jis ka saamna tumhen aur tumhaare bhaaei hussain ko karna hai phir mazkura baala qissa bayaan kiya ...


Note :


dusra sawaal waazeh nahi hai dobaara zahmat hogi


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


29 / محرم الحرام / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.