keya talaaq ki eiddat ke dauraan aurat ghar ke baahar jaa sakti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, September 22, 2020

keya talaaq ki eiddat ke dauraan aurat ghar ke baahar jaa sakti hai ?

sawaal az : Mohtaram janaab Muhammad sb, M.p (India)

Salam Alykum


Kya Government Job Karne Wali Talaq Shuda Aurat Apni Talaq Ki iddat Ke Waqt Me Ghar Se Bahar Nikal Sakti Hai? Government Job Karne Wali Agar Job Par Hazir Nahi Hui To Naukri Se Nikala Jaa Sakta Hai... Sistani Sahab Ki Taqlid Mai Hai.

Wassalam


Agha is sawal ka jitna jaldi hosake javab dijiye


jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين وعلى على ابن الحسين

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله وبركاته

agar baa'ein talaaq hai to ous ki eiddat ke dauraan nikal sakti hai


raj'ei talaaq ki eiddat ke dauraan ghair zaruri kaamon ke liae shauhar ki aejaazat ke beghair ghar se baahar jaana haraam hai


Note :

1. baa'ein ki 6 qismen hain ous ke aelaawah sab raj'ei talaaq hai


2. mazeed maalumaat ke liae site ke "menu" section me mauzu "talaaq" dekh len


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


1 / صفر / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.