keya aza ke dinon me eitr laga sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, October 17, 2020

keya aza ke dinon me eitr laga sakte hain ?

sawaal az : mohtaram janaab tanvir ali sb / delhi


salam

Aj maine jab jume ki namaz ke dauran Imam Reza a.s ke Haram Shareef ka Atr Namaziyon ke bich me lagane ko dia to usmein se ek Namazi ne kaha ki aaj Rasool-e-Khuda (s.a.w.w) aur Imaam Hassan (a.s) ki Shahadat hai isliye lagana shayad uske mutabiq mamnoo hai..kya usne hAq kaha ?


jawaab :


باسمه تعالى


السلام على الحسين و على على ابن الحسين

وعلى اولاد الحسين و على اصحاب الحسين


عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


baaz logon jaiyse namaazi, roze daar aur shauhar daar aurat ( shuhar ke liae ) ... ke liae khushbu wa eitr lagaana mustahab wa sunnat hai


Aur baaz logon wa jaghon par jaiyse haalate aehraam wa aetekaaf aur eid'date wafaat ke dinon me ... khushbu wa eitr lagaana haraam hai


is hukm ki bunyaad shar'ei dalil hai


aiy'yaame aza me khushbu wa eitr lagaane ke mustahab ya hurmat wa momaane'at ke mota'alliq koei motabar dalil nahi hai


lehaaza aiy'yaame aza me eitr wa khushbu lagaane me ba'zaate khud koei haraj nahi hai


lekin jahaan aap zindagi guzaar rahe hain wahaan ke ourfe aam yaani momenin ke darmeyaan eitr wa khushbu istemaal karna khushi ya jashn-o-sorur ki alaamat wa neshaani hai ya aam taur par log khushi wa jashn aur mahfil me lagaate hain ya momenin ke darmeyaan bura samjhaa jaata hai, to is surat me aehteyaat behtar hai yaani aza ke dinon me eitr wa khushbu na lagaa'aen



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔28 / صفر / 1442ھ.ق


روز شہادت رسول اکرم و امام حسن ( صلوات الله عليهم )۔

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.