kaun si machhli (fish) ki kharid-o-farokht jaa'aez nahi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, November 18, 2020

kaun si machhli (fish) ki kharid-o-farokht jaa'aez nahi hai ?

sawaal az : mohtaram janaab Syed Anwar Haider Rizvi sb


mera swal hai machli (fish) ke karobaar se

kya ghair sifne wali machli ka production aur sifn e wali machliyon ke saath kr sakte hain ya nahi


Halaal manfa'at ka ka yaqeen nahi Chunki mandi me maal jaega

Waha'n se aage kya hogi aisi fish kuch nahi kah skte

Jo haram machliyan hai fiqah e jafaria me grow na ki jaengi to loss hota hai


jawaab :


باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

سلام علیکم

haraam ghosht machli ki kharid-o-farokht khaane ke liae jaa'aez nahi hai, agar kharidaar ke nazdik ous ka khaana halaal hai tab bhi nahi bech sakte hain magar ye ke khaane ke aelaawah shar'an ous se naf ( نفع ) outhaana jaa'aez wa halaal ho jaiyse tibbi ( medical ) waghairah me istemaal ke liae to bechne me koei haraj nahi hai. lehaaza agar halaal manfa'at wa faa'aede ke baare me yaqin na ho to nahi bech sakte hain


( ba motaabiq fatwa aayatullaah sistaani )

mazid maalumaat ke liae niche diae gae jawaab ko molaaheza farma len


haraam gosht mach'li ki farokht | tejaarat ka hukm Click here


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / ربيع الثانى / 1442 ھ.ق

No comments:

Comment

.