Qur'aan | injil | hadis me dajjaal ka zikr | is ke maani | aqsaam - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, November 7, 2020

Qur'aan | injil | hadis me dajjaal ka zikr | is ke maani | aqsaam

sawaal az : ............


Salamun Alaikum bhai Mera Naam Shahid Ali khan From Mumbai hamara ek sawal Hai


Kya dajjal Jab aayga aur jitne fitna o Fasad faylayga uske maathe par kaafir Likha hoga Woh barish bars barsane ko kahega barish barsegi wagaira wagaira kya ye Sab Siwaye Hadees e masoomin as ke elawa quran e paak mein mauzood hai agar hai Toh plzz surh aur aayat Bataiye Humko. .


Allah Swt iska azr e Azeem ata Kare aapko


jawaab :


باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

dajjaal ka khoruj imaame zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke zohur ki neshaaniyon me se aek hai


is ki taarikh bahot puraani hai , angrezi me tarjomah shudah " injil " me dajjaal ko "antichristos" ( masih ka mokhaalif wa munkir ) likha hai ketaabe moqaddas me dajjaal ka ta'aaruf " msiha daggala " ( jhuta masih = false christ ) ke ounwaan se karaaya gaya hai


dajjaal ka zikr shia wa sunni rewaayaat wa ahaadis me bhi hai, albatta sunni ketaabon me is ke hawaale se bahot saari rewaayaat hain, is ke baare me mustaqil ketaaben bhi likhi gaei hain lekin sunni ketaabon ki ba'nisbat shia ketaabon me dajjaal ke mota'alliq rewaayaat bahot kam hain baaz rewaayaat to khud sunni ketaabon se naql ki gaei hain jis ki sanad bhi qaabile aetemaad nahi hai


is mokhtasar si tamhid ke baad arz hai ke bahot saari chizon ka zikr qur'aan hakim me nahi hai jaiyse rak'aate namaaz ' tariqae namaaz aur tamaam ambiya aur islaam wa ahlebaite rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ke dushmanon ke naam ...


dajjaal ke naam aur barpa hone waale hawaadis aur fitnon ka zikr bhi saraahat ke saath nahi hai


albatta baaz aayaat ke zail aur tafsir me dajjaal ki taraf aeshaara huaa hai


1. surah sajdah aayat 21 :


" aur ham ounhen bade azaab ke aelaawah kamtar ka zaa'aeqah bhi zarur chakhaaen ge shaayad wo baaz aa jaa'aen "


bahot saari rewaayaton me imaam baaqir aur imaam saadiq ( عليهما السلام ) ne farmaaya ke :


" ( kamtar azaab ) " ِعَذَاب الاَدنَى " se moraad dajjaal ki sawaari aur ous ka aana hai "


( tafsire " majmaoul bayaan " jild 8 p 430 )


2. ghaafir = momin , aayat 56 :


yahudi rasule khoda ( صلى الله عليه و آله ) ki khidmat me aae aur kaha aakhere zamaana me dajjaal zaahir hoga wo ham me se hai ( yahudi hai ) aur zamin, darya ... ous ke zere aekhteyaar hon ge aiysa waiysa karega mokhtasar ye ke ous ke khasaa'aes aur salaahiyaton wa taaqaton ke baare me bahot mobaalagha kiya ...


khoda ne oun ke jawaab me surah ghaafir ki aayat 56 naazil farmaaei


" beshak jo log allaah ki aayaat ke baare me jhagadte ( جھگڑتے ) hain beghair kisi dalil ke jo oun ke paas aaei ho oun ke dilon me badaaei ke sewa kuch nahi wo ous ( badaaei ) tak nahi pahunch paa'aen ge lehaaza aap allaah ki panaah maangen ..."


yaani yahudiyon ne jo kuchh bahot badha chadha ( بڑھا چڑھا ) kar bayaan kiya tha khoruje dajjaal ke waqt wo ous tak nahi pahunch paaen ge phir khoda ne apne habib rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ko hukm diya ke yahud aur dajjaal ke shar our fitnon ... se allaah ki panaah maangen


( majmaoul bayaan jild 8 p 679 / tafsire at'tibyaan jild 9 p 88 )


is waqt bhi yahud wa aale yahud ko apni taaqat aur daulat ka nasha hai aur har taraf dajjaali fitna barpa karna chaahte hain lekin imaame zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke haqiqi muntazerin oun ko apne naapaak aeraadon me kabhi kaamyaab nahi hone den ge


khoda oummate muslemah ko oun ke fitnon se mahfuz rakhe


3. surah an'aam 158 :


... اَو يَاتِى بَعضُ آيَاتِ رَبِّك ...

" ... ya aap ke rab ki kuchh neshaaniyaan aa jaaen ...


is aayat me jin neshaaniyon ka zikr hai oun makhsus neshaaniyon me " dajjaal " ... bhi daakhil hai


oun neshaaniyon ke mota'alliq rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) se marwi is hadis ka zikr hai :


بَادِرُوا بِالاَعمَالِ سِتّاََ طُلُوعَ الشَّمسِ مِن مَغرِبِهَا وَالدَّابَّةَ وَالدَّجَّالَ وَالدُّخَانَ وَ خُوَيصَةَ ( خَاصَّةَ ) اَحَدِكُم وَ اَمرَ العَامَّةِ

mafhum :


" 6 chizon ke zaahir ho jaane se pahle nek aamaal me jaldi karo maghrib se toluae khurshid, sawaari, dajjaal, dhuaan ( دھواں ) maut aur qeyaamat


( at'tibyaan jild 4 p 337 / maj'maoul bayaan jild 4 p 481 )


ye rewaayat sunni ketaabon me kasrat se naql huei hai


khulaasae kalaam :


khud dajjaal aur aakhere zamaana me ( yaani qabl az zohure imaame zamaana عجل الله فرجه الشريف ) ous ka khoruj saabit hai ous se inkaar karna sahal wa aasaan nahi balke mushkil hai

albatta beraadaraane sunni ki ketaabon me bayaan kiae gae ous ke tamaam khosusiyaat, ausaaf aur ghair maamuli salaahiyaten wa taaqaten saabit nahi hain

aur keya dajjaal aek moay'yan shakhs hai jo aakhere zamaana me logon ko gumraah kare ga aur har taraf fitna wa fasaad barpa kare ga ... bil aakhir imaame zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke haathon ya aap ke hukm par hazrat eisa ibne maryam ke haathon qatl hoga


ya aek moay'yan shakhas nahi hai balke aek maujud ka naam hai. jo bhi bahot jhut bolne waala, bahot dhoka dene waala, fitna phaiylaane waala aur khelaafe haqiqat baat ka daawa karne waala, haq ko baatil ke saath khalat malat karne waala ... ho wo dajjaal hai


loghat me bhi dajjaal ka matlab intehaaei jhuta, fareb kaar, dhoke baaz aur chaal baaz ... hai


ya dajjaal aek alaamat hai aur aeshaara wa kenaaya hai aalami kufr-o-nefaaq aur oun ki ideology ki taraf logon ko maaddi wasaa'ael aur imkaanaat se mar'oub karke gumraah wa tabaah-o-barbaad karen ge ( is waqt bhi dajjaal sefat aiysa hi kar rahe hain )


sawaal ke peshe nazar dajjaal ke mota'alliq mazkura baala 3 aehtemaalaat ki tahqiq me padne ko nazar andaaz kiya jaa raha hai


jawaab ka aekhtetaam aek hadis par karta hun


janaabe abuzar se manqul hai ke hazrat rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ne farmaaya :


۔... مَن قَاتَلَنِى فِى الاُولَى وَ قَاتَلَ اَهلَ بَيتِى فِى الثَّانِیَةِ فَهُوَ مِن شِيعَةِ الدَّجَّالِ ...۔

mafhum :


" ... jo shakhs pahli martaba mujh se jang kare aur dusri martaba mere ahlebait se jang kare to wo dajjaal ke paiyro kaaron me se hai ..."


( al amaali shaikh tusi jild 1 p 459 majlis saadis ashar )


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


21 / ربيع الاول / 1442ھ.ق

No comments:

Comment

.