imaam-e-zamaana (atfs) ka naam aane par sar par haath rakhna ... | keya sar par haath rakhna | pair par pair rakh kar sona makruh hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, November 2, 2020

imaam-e-zamaana (atfs) ka naam aane par sar par haath rakhna ... | keya sar par haath rakhna | pair par pair rakh kar sona makruh hai ?

Sawaal az : mohtaram janaab Sayyed Arsalan Askari From Gujarat (India)


Allama Saab...Kya Apne Sarpar Dono Haath Rakhna Makruh Hai.?....Or Kya Perr Par Perr Rakhkar Sona Bhi Makruh Hai.?


jawaab :


باسمه تعالى


يا صاحب الزمان ادركنا


سلام عليكم

1. mujhe kahin nahi mila ke sar par haathon ko rakhna makruh hai


sar ya sine par haathon ko rakhna aek rasm-o-rewaaj hai , adab aur aehteraam wa taazim me ya hatta kisi mosibat ke waqt log aam taur par aiysa karte hain , haqiqat me ye aehteraam wa taazim ya mosibat ki alaamat wa neshaani hai


imaame zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke liae taazim me sar par haath rakhna hadis se saabit hai molaaheza farma len :


Mafhum :


marwi hai ke mash'hur-o-maaruf shaa'aere ahlebait ( صلوات الله عليهم ) " debil khozaaei = دِعبِل خُزَاعِى " ne apna zabar dast aur shohrah aafaaq qasidah ba-naame " taa'eiyah = تائيه hazrat imaam reza ( عليه السلام ) ki khidmat me padha , jab is sher par pahunche


" خُرُوجُ اِمَامِِ لَا مُحَالَةَ خَارِج "

" يَقُومُ عَلَى اِسمِ الله بِالبَرَكَاتِ "

" imaam ka khoruj ( zohur wa qeyaam ) qat'ei wa yaqini hai "


" aap ka khoruj ( zohur wa qeyaam ) allaah ke naam se aur khair-o-barkaton ke saath hai "


to imaam reza ( عليه السلام ) sar taa paa khade ho gae aur apne sar ko zamin ki jaanib kham kiya ous ke baad apne daa'aen haath ki hatheli ko sar par rakha aur farmaaya :


 اَللَّهُمَّ عَجِّل فَرَجَهُ وَ مَخرَجَهُ وَانصُرنَا بِهِ نَصراََ عَزِيزاََ 


" allahumma ajjil farajahu wa makhrajahu wansur naa behi nasran aziza "

" khodaaya oun ke zohur me taajil farma aur oun ke zariae hamaari qaabile izzat wa saahebe martaba madad farma "


( muntahal aamaal jild 2 p 632 fasl 6 baab 6 taalif seqatul mohaddesin shaikh abbaas qumi saahebe mafaatihul jenaan )


qaabile tawajjoh baat ye hai ke sher me imaam-e-asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ka naam nahi liya gaya tha balke shaa'aer ne sirf kaha tha " imaam ka khoruj " dusre ye ke ous waqt aap ki welaadat baa sa'aadat bhi nahi huei thi tisre ye ke par pota ke beta hain ous ke baa-wojud taazim wa aehteraam me khade huae


puri dunya ke momenin bhi imaam reza ( عليه السلام ) ki is sirat wa sunnat par amal karte hain


baaz jagah maamul hai ke kisi ke inteqaal par ya aiy'yaame aza me momenin apne haathon ko sar par rakhte hain aur maarte hain is me koei haraj nahi hai


2. aek pair ko dusre pair par rakh kar sona makruh hai is ke mota'alliq bhi mujhe kahin nahi mila


imaam baaqir aur imaam hasan askari aur dusre maasumin ( صلوات الله عليهم ) se manqul hadison ka mafhum wa khulaasa :


momenin ki nind :


daa'aen karwat par daayaan haath rokhsaar ke niche rakh kar qibla ki taraf munh karke sona hai

( is tarah sona mustahab aur behtar wa afzal hai )


aur kuffaar-o-monaafeqin ki nind :


baa'aen karwat par sona hai

( is tarah sona makruh hai )


aur shayaatin ki nind :


pet ke bal oulta ( aundha ) let kar sona hai


( is tarah sona bhi naa pasandidah wa makruh hai , ibne muljim لعنة الله عليه bhi shabe zarbat-e-amirul momenin Ali علیه السلام isi tarah leta tha )


( man laa yahzaro hul faqih jild 1 p 318 h 1446 baab 78 / osule kaafi jild 1 p 513 h 27 ketaabul hujjah baab mauledo abi mohammadil hasan ibne ali عليهما السلام )


Note :


1. baaz rewaayaton me hai ke baa'aen karwat par so'aen aur mazkurah baala rewaayat me hai ke daa'aen karwat par so'aen

donon rewaayat aek dusre se motazaat wa mokhaalif nahi hain taujih wa taawil ye ho sakti hai ke pahle daa'aen karwat par so'aen ous ke baad baa'aen karwat par so'aen aur outhen to daa'aen taraf se


2. sawaal 2 ke mota'alliq qadre tafsili jawaab " hilyatul mut'taqin " p 203 baab 8 fasl 4 molaaheza farma len


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


17 / ربيع الاول / 1442ھ.ق


روز ولادت با سعادت نبی رحمت اور آپ کے فرزند امام صادق ( عليهما السلام )۔

No comments:

Comment

.