kahaan likha hai ke butparast ke haath se khaana khaana jaa'aez nahi hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Tuesday, December 29, 2020

kahaan likha hai ke butparast ke haath se khaana khaana jaa'aez nahi hai ?

Sawaal az : khaahare geraami ( fatehpur )


Slm

janab ek sawal hai uska jawab agar plzz pata kar ke bata sakte hain to bata diye


kaha likha hai ke hindu ka khana nhi khana chahiye aur hindu ka khana kaisa h?


sistani shb

Plz Naam share na kijiyega


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

kaafir, butparast ... ka tamaam badan najis hai hatta ous ke baal wa naakhun aur rotubat najis hai


( minhaajus saalehin jild 1 p 130 / tauzihul masaa'ael mas'alah No 104 faarsi naashir daftar aayatullaah sistaani qum )


zaahir hai jab najis hain to oun ki tari jahaan bhi lage gi wo najis hai lehaaza agar khaane ki kisi chiz par lagi hai to ous ka khaana haraam hai


isi hawaale se aap ke marja ne aek sawaal ( istifta ) ke jawaab me jo farmaaya ous ka mafhum niche diae gae jawaab me molaaheza farma len



Note :


Mazeed maalumaat ke liae "menu" me kaahne pine ke ahkaam dekh len


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


14 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.