namaaze shab ki qaza ka hukm | khoda padhne waale par fakhr karta hai - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, December 28, 2020

namaaze shab ki qaza ka hukm | khoda padhne waale par fakhr karta hai

sawaal az : mohtaram janaab Arsalan Askari sb (gujraat)


Allama Saab Namaze Shab Ki Qaza Kis Tarah Padhni Hoti Hai.?


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم

chhuti huei namaaze shab ko din me kisi bhi waqt qaza ki niyat se padh sakte hain, mustahab hai


jo ada ka tariqa hai wahi qaza ka hai albatta darj zail omur ki reaayat karna zaruri ya behtar hai :


(1) shaf aur watr me tartib zaruri hai yaani agar donon namaazon ko padh rahe hain to namaaze shaf ke pahle watr nahi padh sakte hain


(2) agar azaane subh ke baad padhna chaahte hain to is surat me afzal wa mustahab hai ke pahle naafela'ae subh aur namaaze subh padhen phir namaaze shab ki qaza baja laa'aen


(3) agar baiynat'toluain = بين الطلوعين ( yaani baad az azaane subh aur qabl az toluae aaftaab ) padhna chaahte hain to behtar hai ke ada ya qaza ki niyat na karen balke "maa fiz zimmah = ما فى الذمه" ki niyat se padhen


Note :


(1) "maa fiz zimmah" yaani amal ko anjaam dena is niyat se ke jo mere zimme hai


lehaaza No 3 ke peshe nazar is tarah niyat karen :


namaaze shab padhta / padhti hun qur batan aelallah ( قربة الى الله )


na ada ki niyat karen aur na hi qaza ki niyat karen


(2) agar kisi bhi wajah se namaaze shab waqt par nahi padhi to qaza padhne me bhi bahot sawaab hai aur khoda wande aalam aiyse bande par fakhr-o-mobaahaat karta hai


imaam saadiq ( عليه السلام ) ka irshaade geraami hai :


اِنَّ العَبدَ يَقُومُ فَيَقضِى النَّافِلَةَ فَيُعَجِّبُ الرَّبُّ مَلَائِكَتَهُ مِنهُ فَيَقُولُ يَا مَلَائِكَتِى عَبدِى يَقضِى مَا لَم اَفتَرِض عَلَيهِ

mafhum :


"bela shub'ha jis waqt koei banda outhta hai aur naafela ( namaaze shab ) ki qaza baja laata hai to khoda apne farishton ko ous ki taarif-o-tamjid karne ke liae raghbat dilaata hai aur kahta hai ay mere farishto mera banda aiysi namaaz ki qaza baja laa raha hai jis ko mai ne ous par waajib wa farz nahi kiya hai"


( tahzibul ahkaam jild 2 p 164 baab 9 h 646 / foruae kaafi jild 3 p 488 ketaabus salaat baa'bun nawaadir h 8 )


di gaei link mofid hai انشاءالله



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna -shoba-e-sawaalaat Qum / iran


12 / جمادى الاولى / 1442ھ.ق


۔◾ شب شہادت حضرت فاطمہ ( سلام الله عليها ) ایک روایت کے مطابق◾۔

subscribe us on youtube


No comments:

Comment

.