Dusri shaadi | miyaan biwi me jodaaei daalne ki saza - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, December 17, 2020

Dusri shaadi | miyaan biwi me jodaaei daalne ki saza

Sawaal az : khaahare geraami


SWAL no 1. ki kya koi aisa aadmi jo kisi ghair aurat ke sath najaez rishta rakhta ho aur apne ghar ke kharch na uthata ho to wo dusri shaadi kar sakta hai?


SWAL no 2. ki aisi aurat jo zakira ho aur kisi aadmi ke sath najaez rishta rakhti ho aur us aadmi ko imaam ki qasam deke kahe ki biwi se rishta na rakho to aisi aurto ki islam me khuda ke pas kya saza hoti ap batae taki koi aur aise gande kam na kar sake


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم

(1) khud ba khud yaani dusre pahluoun ( پہلوؤں ) aur jawaanib ko madde nazar rakhe be-ghair ous mard ke liae dusri shaadi karna haraam nahi hai, dusri shaadi kar sakta hai


albatta biwiyon ke darmeyaan mosaawaat aur adl qaa'aem rakhne ki shart ke saath dusri shaadi = ta'addode zaujaat ki aejaazat hai warna aek hi biwi par aektefa kare


surah nesa aayat 3 aur 129 molaaheza farma len


(2) ous aurat ka kaam bela shubha wa yaqinan haraam hai aur kabirah gunaahon me se hai


rasule khoda ( صلى الله عليه وآله ) ka irshaade geraami hai :


وَمَن عَمِلَ فِى تَزوِيجٍ بَينَ مُومِنَينِ حَتَّى يَجمَعَ بَينَهُمَا زَوَّجَهُ اللهُ عَزَّوجَلَّ اَلفَ اِمرَاَةٍ مِنَ الحُورِ العِينِ كُلُّ اِمرَاَةٍ فِى قَصرٍ مِن دُر وَ يَاقُوتٍ وَكَانَ لَهُ بِكُلِّ خُطوَةٍ خَطَاهَا اَو بِكُلِّ كَلِمَةٍ تَكَلَّمَ بِهَا فِى ذَالِكَ عَمَلَ سَنَةٍ قِيَامٍ لَيلُهَا وَ صِيَامٍ نَهَارَهَا وَمَن عَمِلَ فِی فُرقَةٍ بَینَ اِمرَاَةِ وَ زَوجِهَا ، كَانَ عَلَيهِ غَضَبُ اللهِ وَ لَعنَتُهُ فِى الدُّنيَا وَالآخِرَةِ وَ كَانَ حَقّاً عَلَى اللهِ تَعَالَى اَن يَرضَخَهُ بِاَلفِ صَخِرَةٍ مِن نَارٍ وَ مَن مَشَى فِى فَسَادِ مَا بَينَهُمَا وَ لَم يُفَرِّق كَانَ فِى سَخَطِ اللهِ عَزَّ وَ جَلَّ وَ لَعنَتِهِ فِى الدُّنيَا وَالآخِرَةِ وَ حَرَّمَ ( اللهُ عَلَيهِ ) النَّظَرَ اِلَى وَجهِهِ

"jo shakhs baa eimaan ladke aur ladkion ke darmeyaan shaadi ke liae koei kaam kare taake dono baaham miyaan biwi ban jaaen to khoda ous ki shaadi hure ein ( حُورِ العِين ) me se hazaar auraton se kare ga, har aurat moti ( موتی ) aur yaaqut ke mahal me hai aur is kaam ke liae outhne waale har qadam ya har wo baat jo kare wa bole to ous ke aewaz wa badle me saal bhar ki raaton ki aebaadat ( shab zinda daari ) aur roze rakhne ka ajr-o-paadaash hai

aur jo shakhs miyaan biwi ke darmeyaan jodaaei karwaae to ous par allaah ka ghazab aur dunya wa aakherat me allaah ki laanat hai aur khoda ke liae sazaawaar hai ke ous par aag ke hazaar bade wa sakht pat'thar barsaae aur jo shakhs bhi miyaan biwi ke darmeyaan phut daalne ke liae chale lekin dono me jodaaei na ho ( wo apne maqsad me kaamyaab na ho ) to wo allaah ke ghaiz-o-ghazab me hai aur dunya wa aakherat me allah ki laanat hai aur khoda ous ko apni taraf nazar wa negaah se mahrum kar dega


( sawaabul aamaal wa aeqaabul aamaal p 668 shaikh saduq )


mard aur ous ki zauja ke darmeyaan jodaaei daalna shaitaan aur saaheron wa jaadu garon ka kaam hai


is baare me surah baqarah aayat 102 padh len


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


2 / جمادى الاولى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.