keya aek rak'at me aek se zaa'aed surah padhna jaa'aez hai ? | kaun saa surah padh sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, January 29, 2021

keya aek rak'at me aek se zaa'aed surah padhna jaa'aez hai ? | kaun saa surah padh sakte hain ?

Sawaal az : mohtaram janaab Tabrez Ali Shirazi sb


salam alaikum wwb


janab mai mukeem haal saudi dammam se hu


mera sawal ye hai ki kya ham wajib namazo me sure fatiha k baad koi 2 sure ki tilawat kar sakte hai or agar kar sakte hai to wo kaun si sura hai..


shukriya 🌹🙏


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

ji aek rak'at me aek se zaa'aed yaani mota'addid surah padhna jaa'aez hai lekin makruh hai aur maasumin ( صلوات الله عليهم ) se saabit sunnat nahi hai, albatta mustahabbi namaaz me makruh nahi hai


qur'aan karim ke tamaam suron hatta bade ( lambe ) aur oun suron ko bhi padh sakte hain ( jaa'aez hai ) jis me sajdah waajib hai


lekin waajib hai ke aayate sajdah padhne ke baad sajda-e-telaawat karen aur waajib namaaz me sajda-e-telaawat ada kar liya to benaabar aehteyaate waajib namaaz baatil ho jaae gi, zaruri hai ke ous namaaz ko dobaarah padhen lekin agar sahwan yaani bhule se sajda-e-telaawat kar liya to namaaz baatil nahi ho gi aur agar sajda-e-telaawat amadan nahi kiya aur namaaz mokammal kar li to namaaz sahih hai dobaara padhna zaruri nahi hai, albatta aehteyaate mustahab ye hai ke dobaarah padhe

lekin tark-e-sajda-e-telaawat ki wajah se gunaah kiya hai


Note :


1. namaaz me surah hamd ke baad surah "az'zoha" wa "alam nash'rah" aur isi tarah surah "feel" wa "qoraish" ( al eilaaf ) ko aek hi surah maana jaataa hai dono aek hi surah ke hukm me hain lehaaza benaabar aehteyaate waajib surah hamd ke baad surah "az'zoha" ke saath surah "alam nashrah" bhi padhna chaahiae, in me se tanhaa aek surah padhna kaafi nahi hai


isi tarah surah "feel" ke saath surah "qoraish" bhi padhe


tawajjoh rahe ke surah tauba ke aelaawah har surah ke pahle "bismillaah ... " kahna zaruri hai


2. baaz maraaje keraam ke nazdik waajib namaaz me oun suron ko padhna jaa'aez nahi hai jis me sajdah waajib hai


mazid faa'aede ke liae niche diae gae jawaab ka motaala'ah karen




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔15 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen