ladki ko ladka pasand hai lekin ghar waale tay'yaar nahi hain ladki keya kare ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, January 22, 2021

ladki ko ladka pasand hai lekin ghar waale tay'yaar nahi hain ladki keya kare ?

sawaal az : mohtaram janaab Syed Hassan Haidar jaafri sb / (haidrabad)


Salam ek sawal hai mera


Ladki ko ladka pasand hai aur ghar wala na maana rishta ke Liya (ladki ke maa baap raazi nahi hue) aur ladkie ke maa baap bol raha hai ke ussa aaq kardega aur doodh nai baksha ga kya yeah shariyat e Mohammedi mai kaha tak jay-z hai aisa karna... pls give references on light of our imams


Agha sistaani sb


jawaab :


باسمه تعالى

يا صاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

shar'ei jawaab ki neshaan dehi karne se pahle ye arz kar dun ke paiyda shudah masaa'ael se bachaane ke liae chand bunyaadi mash'waron par amal karna zaruri hai molaaheza farmaaen :


ladki ki aarzu wa tamanna puri hone me jo rokaawat khadi hai ous hawaale se ladki ke aehsaasaat ko dark karta hun aur oummid karta hun ke ye mushkelaat wa rokaawaten bar taraf ho jaaen


aaghaaz me qaabile zikr baat ye hai ke ghar waale ya maa baap ladki ke rishte par keyon raazi nahi hain ? mokhaalefat ki eillat wa sabab ki taraf koei aeshaara nahi kiya gaya hai


ho sakta hai mokhaalefat baja aur dalaa'ael ki bunyaad par ho

waaledain ki adame reza mandi se ladki naaraahat hai is liae oun ki mokhaalefat ko ghalat wa naa durust samajh rahi ho aur ous se oulta natija nikaal rahi ho


waaledain ke paas raazi na hone par yaqinan koei dalil hogi oun ka mauqif bela dalil nahi ho ga oun ki dalil ko tawajjoh se sun'na zaruri hai


is par khosusi tawajjoh rahe ke baap maa wo azim hasti hain jis se zeyaadah hamdard, dardmand, dilsoz aur khair khaah hamaare liae koei dusra nahi ho sakta ( is ke baawojud momkin hai baaz auqaat oun ki tashkhis aur aeqdaam naadurust wa monaasib na ho lekin ye bhi dilsozi wa hamdardi ki wajah se hai )


mazkurah baala baaton ke peshe nazar behtar hai ke maa baap ki mokhaalefat se naaraahat wa naaraaz huae beghair kisi bhi monaasib waqt me maa baap se baat kare aur raazi na hone ki eillat wa sabab ko samajhne ki koshish kare taake pata chale aakhir is mokhaalefat ka sabab keya hai ?


oun ki baat wa nazariyah sunne ke baad fauran faisla na kare aur khud judge wa munsif na bane balke oun ke dalaa'ael aur nazariyaat ko aiyse moshaawir ( mashwarah dene waale ) se bayaan kare jo amin, tajreba-kaar, khair-khaah, qaabile aetemaad aur waaledain wa ladki ke nazdik maqbul ho


is liae ke aiysa tisra fariq ghair jaanib daar hai is mas'ale me behtar tariqe se izhaare nazar kar sakta hai


agar maa baap ke dalaa'ael qaane konindah hon yaani amin moshaawir bhi oun ke dalaa'ael ki taa'eid kare to mokhaalefat ke asbaab wa dalaa'ael ko qabul wa taslim karna ladki ke liae raahat wa aasaan ho jaae ga


is baat ka imkaan wa aehtemaal zeyaadah hota hai ke maa baap ka raazi na hona baja wa durust ho


is liae ke shaadi se pahle eishq-o-mohabbat wa peyaar aam taur par aql-o-sho'our aur shanaakht ki bunyaad par nahi hai, asl khel aehsaasaat wa jazbaat ... khelte hain


is baat ko samajhne ke liae oun afraad wa ash'khaas ki zindagi par tawajjoh wa ghaur kare jinhon ne shaadi se pahle eishq-o-mohabbat wa peyaar ka daawa kiya tha lekin shaadi ke baad oun ki zaati zindagi mushkelaat wa masaa'ael se do chaar rahi aur bil aakhir ye shaadiyaan naa kaam aur talaaq par muntaj huein agar talaaq wa judaaei nahi huei to intehaaei bad'tar zindagi guzar rahi hai logon ke ba-qaul jahannam se bad'tar zindagi guzar rahi hai


agar dalaa'ael qaane konindah na hon to waaledain ko qaane aur raazi karne ke liae kisi aiyse qaribi rishtedaar se baat kare jo buzurg wa raaz daar ho aur guftogu ka fan aata ho aur ous ki baat waaledain maante bhi hon, ous ki baat ka asar waaledain par hota ho


maa baap se bahs-o-mobaahasa karne, oun ki mokhaalefat karne, zid karne aur oun ke moqaabil khade hone me hargiz koei faa'aedah nahi hoga aur koei natija bhi bar aamad nahi ho sakta


albatta waaledain ki nazar qaane koninda na hone ki surat me qaribi aur buzurg rishtedaar aur moshaawarat ki madad se waaledain ke nazariae ko badalne ki koshish kare


farz kar len agar is kaam ko anjaam nahi de sakti hai to manteqi, taamiri aur mowassir tariqe se bazaate khud is se nepatne ki koshish kare aur paiyda shuda masaa'ael wa mushkelaat se rehaa'ei paane ke liae apne liae behtarin haalaat mohay'ya wa faraaham kare


naa oummid hone ki zarurat nahi, ahl-e-baite at'haar ( صلوات الله عليهم ) ke zariae doa kare ye mushkil hal ho jaae gi انشاءالله


shar'ei jawaab aur mazid tafsilaat ke liae niche diae gae jawaab molaaheza farmaaen


  1. keya ladki baap ki aejaazat ke beghair shaadi kar sakti hai ? | kab aejaazat lena zaruri nahi | court me nekaah | shia ladki ka sunni ladke se shaadi ka hukm

  2. ladki ka wali ki aejaazat ke beghair nekaah karne ka hukm | rashidah ka matlab

  3. biwi par ilzaam lagaane ka hukm | baap bete ke hoquq | baap apna haq ada na kare to aulaad keya karen ?


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔8 / جمادى الثانى / 1442 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.