ladki ka wali ki aejaazat ke beghair nekaah karne ka hukm | rashidah ka matlab - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, January 20, 2021

ladki ka wali ki aejaazat ke beghair nekaah karne ka hukm | rashidah ka matlab

Sawaal az : ... / South Africa (Congo)


Salaam
Ek sawal mere ko puchhna tha...


Mutah me ladki agar apne par depend ... job karti hai... to ladki ke walid ki ijazat ki jarurat hai ?


Mera name mention na kijiyega Shukriya
Taqleed Aagha Shistani Sb


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar ladki konwaari (baakerah), baaligh aur rashidah ho aur apni zindagi ke mohim shobon me baap aur maa ke saath waa'bastagi na ho balke faisle karne aur aeraade me mustaqil ho


Misaal ke taur par :


molaazemat (job), apne maal ki kharido farokht aur apne maal ko bakhshne wa ata karne ... me mustaqil ho yaani maa baap ki dekh bhaal aur nazaarat ki zarurat na ho
to is surat me benaabar aehteyaate waajib jaa'aez nahi hai ke wali (baap ya daada) ki aejaazat ke beghair aqde daa'aem ya ghair daa'aem (mut'ah) kare


(agar wali ki reza mandi ke beghair shaadi kar le to aehteyaate waajib ke taur par aqd baatil hai sahih nahi hai)


aur agar zindagi ke shobon me mustaqil na ho to wali ki aejaazat zaruri wa laazim hai lehaaza agar wali ki aejaazat ke beghair aqde daa'aem ya ghair daa'aem kar le to aqd baatil wa naa durust hai


Shar'ei aetebaar se donon suraton me farq :


pahli surat me benaabar aehteyaate waajib wali ki aejaazat zaruri hai lehaaza is surat me aalamiyat me tasalsul wa tartib ki reaa'yat karte huae dusre faqih se roju kar sakte hain (al aalam fal aalam ki reaa'yat karte huae kisi dusre faqih wa mujtahid ki taraf roju kar sakte hain)


dusri surat me fatwa hai "aehteyaate waajib" ki qaid nahi hai lehaaza is surat me kisi dusre faqih ki taraf roju nahi kar sakte hain


Note :


Rashidah ke maani :


rashidah ladki ous ladki ko kahte hain jo apni zindagi ki maslehat wa manfa'at ko ba'khubi tashkhis de
aur shaadi ke ta'alluq se sirf apni jinsi jebillat wa fitrat aur narm dili se mota'assir na ho balke aqlo sho'our wa fahm ki is manzil par pahunch gaei ho ke tashkhis de ke shaadi kis se karna behtar hai aur kis se nahi karni chaahiae


albatta is tarah ki tashkhis dene ki salaahiyat wa rushd ladkiyon me yaksaan wa baraabar nahi hai balke mokhtalif hai lehaaza is hawaale se ladki ke liae koei khaas oumr moay'yan nahi ki jaa sakti lekin Aayatullaah Makaarim Shiraazi ke nazdik aam taur par 30 saal se oupar oumr ki ladkiyaan shaadi ke masaa'ael me rashidah hain ...


No comments:

Comment

.