kaei saal ke rozon ki qaza ka tariqa | maahe ramzaan me qaza rakhne | kaffaarah ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, March 31, 2021

kaei saal ke rozon ki qaza ka tariqa | maahe ramzaan me qaza rakhne | kaffaarah ka hukm

Sawaal az : Mohtarama janaab Aarifa sb (varanasi)


Salamun alaikum


Ramzan ke mere kai saal ke roza qaza hai usko kaise bhara jaye kya jab tak pichhle kai saalo ke roze nahi bhare jayenge to aane wala roza hamara hoga ki nahi ?


Sayyed Ali Husain Sistani Sb.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


ramzaanul mobaarak me sirf maahe ramzaan ke hi roze rakh sakti hain dusre rozon ki niyat nahi kar sakti hain khaah wo roze waajib hon jaiyse qaza yaa nazro mannat ke, khaah waajib na hon


jetne roze chhut ga'ae hain oun sab ki qaza laazim hai, maahe ramzaan shoru hone ke pahle rakhen ya eide fitr ke baad


aur taakhir ki wajah se qaza ke aelaawah har roze ki jagah aek mud ta'aam faqir ko dena bhi zaruri hai


Note :


  1. qaza rozon me tartib ki re'aayat karna zaruri nahi, lehaaza jis mahine ke roze pahle rakhna chaahti hain rakh sakti hain koei haraj nahi hai masalan 3 maahe ramzaan (3 saal) ke roze qaza hain to pahle tisre saal ke phir dusre saal ke phir pahle saal ke rakh sakti hain ya is ke bar khelaaf

  2. mokhtasar ye ke jis saal ke roze pahle rakhna chaahti hain rakh sakti hain lekin agar aakheri maahe ramzaan ke qaza rozon ka waqt tang wa kam ho masalan aakheri maahe ramzaan ke 5 ya 29 roze qaza hain aur dusra (naya) maahe ramzaan aane me sirf 5 ya 29 din baaqi hon to aehteyaate mustahab ye hai ke pahle aakheri maahe ramzaan ke qaza roze rakhen


  3. taakhir ka kaffaarah sirf aek martaba waajib hai

  4. Misaal :


    1 roz ka roza qaza ho aur ous ko rakhne me 5 saal taakhir ki to sirf aek taakhir ka kaffaarah (aek mud ta'aam) waajib hai, zaruri nahi hai ke taakhir ke sabab 5 saal ka kaffaara'ae taakhir den


  5. qaza roze thode thode kar ke bhi rakh sakti hain neez sardi ke chhote dinon me bhi rakhe jaa sakte hain

  6. niche diae ga'ae jawaab ko zarur molaaheza kar len aur mazid tafsilaat ke liae site ke "menu" section me roze ke ahkaam dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


17 / شعبان / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.