keya ghusle janaabat ke baad namaaz | qur'aan | doa padhne ke liae wozu zaruri hai ? | kaun si reyaah se wozu tut jaata hai lekin ghusl baatil nahi hota ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Thursday, April 29, 2021

keya ghusle janaabat ke baad namaaz | qur'aan | doa padhne ke liae wozu zaruri hai ? | kaun si reyaah se wozu tut jaata hai lekin ghusl baatil nahi hota ?

Sawaal az : Mohtarama janaab Falak Zehra s.b ( Up / varanasi )


ASSLAM ALEKUM


Keya ghusl-e-janabat ke baad wazu waajib hai

Namaaz aur quraan padhne ke liye


AYATULLAH SISTANI SHB


jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ghusle janaabat ke baad ( ghusl baatil hone ke pahle ) namaaz ke liae wozu waajib nahi hai balke ghair shar'ei aur naa jaa'aez hai ( bid'at wa haraam hai )

yahi ghusl namaaz ke liae kaafi hai


telaawate qur'aan karim, doa padhne aur talabe haajat ... ke liae ghusl yaa wozu karna zaruri nahi hai albatta ghusl yaa wozu kar ke ( baa tahaarat ) oun ko anjaam dene ka sawaab zeyaadah hai, oun ke kamaal ka sabab hai


Note :


  1. haalate janaabat me yaa wozu kiae beghair qur'aan hakim ki tahrir ( horuf wa aayaat ) ko mas karna ( chhuna ) haraam hai

  2. isi tarah haalate janaabat me sura / aayaate sajda'ae waajib padhna haraam hai


  3. agar ghusle janaabat karte waqt kisi ne koei aysa kaam kiya jis se wozu baatil ho jaata hai ( jayse peshaab karna yaa reyaah khaarij hona ...) to ghusl dobaarah shoru karna zaruri nahi hoga ghusl ko mokammal kar le ghusl sahih hai albatta is surat me namaaz padhne ke liae benaabar aehteyaate waajib wozu karna zaruri hai

  4. ous reyaah ( hawa wa gas ) se wozu tut jaata hai jo mede wa aanton ki ho aur paakhaane ki jagah se khaarij ho lehaaza agar reyaah rahim ki ho aur farj ( aage ke hisse ) se nikle yaa wo hawa ho jo munh ( منہ ) ke raaste khaarij ho ( dakaar lena ) to oun ( donon ke nikalne wa khaarij hone ) se wozu baatil nahi hoga

Natijah :


ghusl karte waqt agar hawa farj yaa munh ke raaste nikal jaa'ae to namaaz ke liae wozu karna zaruri nahi hai


mazid maalumaat ke liae niche recommend kiae gae jawaab ko molaaheza farma len


  1. keya ghusl ke baad wozu karna zaruri hai ?

  2. maahwaari ke dinon me keya karna haraam hai ? | aamaale shabe qadr | qur'aan | doa padhne ka hukm


والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


16 / رمضان المبارک / 1442ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.