keya aurat haiz ki haalat me menhdi laga sakti hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, May 28, 2021

keya aurat haiz ki haalat me menhdi laga sakti hai ?

Sawaal az : khaahare geraami (Moradabad / U.P)


Keya dauraane haiz mehndi baalo ya haatho me lagaa sakte hain


Taqlid : Syed Ali Hussaini Sistani sb


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


lagaa sakti hain shar'an is me koei momaana'at nahi hai albatta is ko makruhaat me shomaar kiya gaya hai lehaaza behtar hai tark karen (yaani na lagaana behtar hai)


Note :


is baat ko bhi shaamil karte huae (zimnan) bataa dun ke yahaan karaahat ka matlab tibbi (medical) karaahat hai na ye ke koei khaas qabaahat aur mushkil ho


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


16 / شوال / 1442ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.