Mustahaq ko fitrah dene me taakhir ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Wednesday, May 12, 2021

Mustahaq ko fitrah dene me taakhir ka hukm

Sawaal az : ..... (Africa)


Assalam alaikum


Mera sawaal hai ki ham log ek aise shahar me rahte hai jahaa ham log eid ka fitrah nahi nikaal sakte nikaal sakte hain lekin haqdaar tak pahonchaana thoda mushkil hai to dusre shahar me bhejna padta hai
To eid ka fitrah agar eid ki raat nikaalte hai ya subah nikaalte hain to haqdaar tak ham log zohr ki namaaz se pahle nahi pahoncha paate to isme masla keya hai ? Keya pahle nikaal sakte hain fitrah qarz ki niyat se aur eid ki raat niyat change kare ya to phir eid ki raat nikaalen to late pahonche agar zohr ki namaaz ke baad ya ek din delay ho
To keya usme koi harj nahi ?


Taqlid : Ayatollah sistaani sb


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان اددركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


jo shakhs namaaze eid padhta hai to namaaz ke pahle fitra dena chaahi'ae lekin jo shakhs namaaze eid nahi padhta hai to roze eid, azaane zohr tak mustahaq ko dene ke liae waqt wa fursat hai
agar susti wa kaaheli ki wajah se na ho balke maaqul wajah ho to mustahaq ko fitra dene me taakhir kar sakte hain koei haraj nahi hai masalan kisi moay'yan wa manzure nazar faqir ko dena chaahte hain lekin filhal ous tak rasaa'ei momkin na ho ous ka intezaar kar rahe hain jaiyse faqir safar par gaya ho ya koei aur wajah ho to dene me takhir kar sakte hain


baqiyah sawaal ka jawaab niche diya gaya hai molaaheza farmaa len


  1. chaand raat se pahle ya maahe ramazaan ke darmeyaan fitra de sakte hain ? | fitra kis ko dena chaahiae ?

  2. jo log dusri jagah ya dusre mulk me fitra nikaalte hain wo apne watan bhej sakte hain ? agar nahi to shar'ei raahe hal keya hai ?


  3. fitrah wa mehmaan ke mota'alliq zaruri masaa'ael


والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


29 / رمضان المبارک / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.