keya imaame zamaana ki salaamti ka sadqah | khums deeni kaam me lagaaya jaa sakta hai ? - Edaara-e-darul itrat
Roze eide ghadir aqde mowaakhaat padhne ke mota'alliq zaruri jaankaari sunniyon ki mokhtalif ketaabon me waaqea'ae ghadeer | hadis-e-ghadeer ka tazkerah

Monday, June 28, 2021

keya imaame zamaana ki salaamti ka sadqah | khums deeni kaam me lagaaya jaa sakta hai ?

Sawaal az : Mohtarama janaab Fatima Rizvi sb ( delhi )


Mera Mera sawal hain

Jo paise ham salamati imam e Zamana a.s ya khums ke paise ham nikal te hain wo kaya ham kessi deeni kaam me use kar sakte hain...


((Jais nazr o niyaz me ya imambade ke kaam mein ))


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


logon se jama kiya gaya sadqah mazkurah baala kaamon me kharch nahi kar sakte hain


agar aap ne sadqah khud nikaala hai to aehteyaat ke taur par kharch karne ki jagah zarurat'mand hain


khums ke 2 hisse hain :


sahme mobaarake imaam ( عليه السلام ) aur sahme saadaat


sahme saadaat sirf mustahaq saadaat ka haq hai


sahme imaam ( عليه السلام ) apne marja ya oun ke motabar wakil ya numaaeindah ki aejaazat se kharch kar sakte hain


mazid maalumaat ke liae "Menu" me jaa kar "Ahkaam" me "Sadaqaat" ka shoba dekh len


Niche di gaei video bhi molaaheza farmaa len




والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔17 / ذيقعده / 1442 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen