Nind se bedaar hone ke baad kaise pata chalega ke nikalne waali rotubat mani hai ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Sunday, August 29, 2021

Nind se bedaar hone ke baad kaise pata chalega ke nikalne waali rotubat mani hai ?

sawaal az : beraadare mohtaram


ek sawaal hai Mera ke agar Banda jab Soo raha ho aur phir jab uthay to use koi nami mahsoos na ho, wo namaaz parh le magar is bande ko jaldi thi namaaz ki to us ne pehle istinja nahi Kiya bas direct wazu kiya magar jab wo washroom jata hai to wo dekhta hai ke penis ke upar halki si chip chapahat ho dekhne se lagta hai ke white ratubat nikli ho magar use shak hai kiyu ke wo liquid form me nahi lag rahi to use ye to yaad hai ke maine khaab dekha magar us me kiya dekha ye yaad nahi, meherbani kar ke bataiye ke wo Banda phir ghusl kar ke namaaz dubara parhe ya nahi


Regards,

sa247...@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


koei rotubat wa tari nind me nikli agar ous me mani ki tinon alaamaten wa neshaaniyaan ya ous me se koei aek na ho ya oun me shak kare ( yaani tinon alaamaton ya oun me se kisi aek ka shak ho ke ye hai ya nahi ? ) to ghusl waajib nahi hoga wozu kar ke jo namaaz padhi hai wo durust wa sahih hai dobaara padhna zaruri wa laazim nahi hai


aur wo rotubat bhi paak hai lehaaza kapde aur badan bhi najis nahi hain


lekin agar mani ki tinon alaamaat ya oun me se koei aek ho to ghusl waajib hai padhi huei namaaz ko dobaara qaza ki niyat se padhna zaruri hai lekin shak ki surat me ghusl waajib nahi aur padhi huei namaaz sahih hai


albatta kabhi is baat ka imkaan hai ke insaan haalate nind me mani ki tinon alaamaton wa neshaaniyon ya oun me se kisi aek ka aehsaas na kare lekin dusre tariqon ( masalan ous ki bad'bu ya zeyaadah meqdaar me rotubat nikal aane ) se yaqin ho jaa'ae ke nikalne waali rotubat mani hai khaah khaab yaad ho ya na ho to is surat me ghusle janaabat waajib hoga aur namaaz ko dobaara padhna zaruri wa laazim hoga is liae ke ous rotubat ke baare me yaqin ho gaya hai ke mani hai lekin agar mani hone ka yaqin na ho balke shak ho aur tinon alaamaton ya oun me se kisi aek ka aehsaas bhi na ho to nikalne waali rotubat mani nahi hai lehaaza ghusl waajib nahi hai aur padhi huei namaaz sahih hai ae'aade ki zarurat nahi


mardon me mani ki 3 alaamaat wa neshaaniyaan hain :


  1. shahwat wa laz'zat ke saath nikle

  2. ouchhal kar nikle

  3. nikalne ke baad badan sust ho jaa'ae

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔20 / محرم / 1443ھ.ق

Subscribe us on youtube


No comments:

Comment

.