Iran | Iraq | Hindustaan me janaab Sakina ki majlis kab hoti hai ? | taarikh-e-shahaadat - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Friday, September 10, 2021

Iran | Iraq | Hindustaan me janaab Sakina ki majlis kab hoti hai ? | taarikh-e-shahaadat

Sawaal az : +9198214......


Salamun alaikum !


Mera sawaal ye hai ke :
India, Iran aur Iraq me mahe safar ki kis tareekh ko janabe sakeena bintul Husain a.s. ki shahadat manayi jaati hai ? Tino jagaho ki date ke bare me batane ki zahmat farmaye shukriya. !


Jawaab :


باسم جلت اسمائه
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar moraad Imaam Husain (عليه السلام) ki 3 ya 4 saalah shahidah wa mazlumaah bach'chi hai jin ko "Roqaiy'yah Bintul Husain (رُقَيَّة)" kahte hain to Iran me shabe 3 (2 aur 3 moharram ki darmeyaani raat) aur 3 moharram Hazrat Roqaiy'yah (عليها السلام) se mansub hai. is din aap ke masaa'aeb padhe jaate hain (lekin 5 safar ko taarikhe shahaadat ke taur par maante hain)


meri eit'tela ke motaabiq Iraq me bhi aap ki taarikhe shahaadat (5 safar) me aap ke masaa'aeb padhe jaate hain, aekka dukka zaakerin wa khotaba apne zauq ke motaabiq 3 moharram ko bhi padhte hain, albatta har jagah aisa nahi hai


Hindustaan me baaz jag'hon par safar ki 10 taarikh aap se mansub hai, is din aap ke masaa'aeb padhe jaate hain aur baaz jag'hon par safar ki 5 taarikh (roz-e-shahaadat) me aap ke masaa'aeb padhte hain


Taarikh-e-shahaadat :


Hazrat Roqaiy'yah Bintul Husain (علیهما السلام) ki shahaadat 5 safar ko 61 hijri shaam ke kharaabah me huei


Chand hawaale :


  1. "tahqiq wa pajoheshi payraamune hazrat roqaiy'yah" - p 142 - taalif shaikh jaafar tabrizi

  2. "taqwim-e-shia" - 5 safar me hone waale waaqe'aat - taalif Abdul Husain Nayshaaburi

  3. "Hazrat Roqaiy'yah dokhtare imaam hussain (عليھما السلام)" - p 5 - taalif Shaikh Ali Falsafi Khoraasaani

  4. (Aap ne ketaab "waqaa'ae'oush'shohur wal aiy'yaam" - taalif Aayatullah Birjandi aur "Reyaazul Quds" - taalif Sadrud Deen Waa'aez Qazwini ka hawaala dete huae naql kiya hai)


Note :


baaz maqaale me Hazrat Roqaiy'yah Bintul Husain (علیهما السلام) ki taarikhe shahaadat 10 safar bhi likhi hai, lekin kam'bezaa'at haqir ko bahot justo'ju aur talaash ke baa'wojud 10 safar ke ta'alluq se kisi ketaab me nahi mila


Niche recommend ki gaei video zarur molaaheza farma len


Karbala ke raawi aur janaab-e-sakina (s.a)


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - Shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


۔3 / صفر / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.