Mai aek ladke se peyaar karti hun lekin wo mujhe nahi chaahta, keya karun ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, November 15, 2021

Mai aek ladke se peyaar karti hun lekin wo mujhe nahi chaahta, keya karun ?

Sawaal az : khaahare geraami


Mein kisí ko bahot piyar karti hun uska bahot khayaal rakhti hun bahot fikr karti uski

uski har baat maanti hun wo bas upar se mujh se piyaar ka dikhawa karta par wo shaadi kahin aur kar raha mein us ke bina nahi rah sakti ye usko bhi pata hai

aisy surat me mujhe kiya Karna chahiye


Regards,

R.... | arha......138@gmail.com


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

سلام عليكم


aek wo waqt tha jab ladkon ke "dost" ladke hu'aa karte the aur ladkiyon ki "dost" saheliyaan، lekin aek ye waqt hai ke ladke ladkiyon aur ladkiyaan ladkon ki "dost" ban'ne lagi hain is be hayaaei ko asre haazir me "girl friend" aur "boy friend" jayse mazmum aur qabih naamon se yaad kiya jaata hai dar haaleke auraton ki asl khubsurati ous ki haya hai


ye aek ijtemaaei mushkil aur samaaji bohraan to hai hi aur saath hi saath khelaafe shar ( شرع ) bhi hai


ladke aur ladki se dosti aur mohabbat ka izhaar jaa'aez nahi hai keyaun'ke gunaah me padne ka andesha hai


ladki aur ladke ka mahz dost ban kar rahna naa momkin hai keyaun'ke donon ki jins mokhtalif wa mokhaalif hai is liae izhaare dosti wa mohabbat karte huae oun ka aek dusre ki taraf jinsi taur par raaghib ho jaane ka yaqini khadshah hai


corona ko aalami bohraan kaha jaa rahaa hai jab ke corona virus se bhi kaei guna zeyaadah khatar naak aur bura "girl friend" aur "boy friend" ka qabih chalan hai ye mo'aashare ke liae naasur hai


is ke aur mohabbat ki shaadi ke ibrat'naak anjaam se kamo besh sabhi aagaah hain ladka ladki ko daame mohabbat me giraftaar kar ke, jhaansa dekar...jinsi hawas ka neshaana banaata hai ous ki iz'zat-o-if'fat aur paak daamani se khelwaad karta hai ous ki iz'zat-o-aabru ... ko taar taar kar deta hai ladki ko is baat ka aehsaas ous waqt hota hai jab paani sar se ouncha ho chuka hota hai natijatan saara khamyaazah ladki ko bhugatna padta hai keyaun'ke ladkiyaan sab se zeyaadah mota'assir hoti hain


aziz-o-aqaarib ... saath chhod dete hain akhir me zil'lat aur ruswaaei ... ki zindagi par apni haraam maut ko tarjih deti hai yaa goshah nashini ki zindagi aekhteyaar kar leti hai


khaahare geraami aap ne khud farmaaya :


"me apne mahbub ko bahot chaahti hun ous se peyaar karti hun ... lekin wo mujh se dekhaawe ki mohabbat karta hai aur kisi aur se shaadi karna chaahta hai ...


alhamdolillaah khoda ne aap ko "aql" jaysi nemaat se nawaaza hai aap ko is baat ka aehsaas huaa, aysi surat me mazkurah shakhs se raabete se gurez karen aur ous se shaadi karne se baaz rahen ous ko bhul jaa'aen ye bahot hi aap ke liae mushkil marhalah hai magar chand kaam karne se agle chand dinon... me ye mushkil aasaan aur hal ho jaa'ae gi انشاءالله


misaal ke taur par :


ous ki saari yaadgaaron ko mita den, mohabbat aur dosti ke dinon me liae ga'ae mohabbat wa dosti ke tohfon ko nist-o-naabud kar den, mobile No, message aur taswiren delete wa hazf kar den, apna Mobile No. band kar ke dusra Mobile No. le len taake wo aap se raabeta na kar sake, aap ki aamad-o-raft aiyse raaste par ho jahaan ous par nazar na pade


jab ous ki yaad aa'ae to apne zehn aur dil me ous ki buri aadaten wa khaslaten payda karen taake ous se duri ho jaa'ae is liae ke aashiq apne mahbub ke aib ( عیب ) nahi dekhta


Amirul momeneen hazrat Ali ( عليه السلام ) ka irshaade geraami hai :


"kisi chiz se mohabbat andha aur bahra bana deti hai"


apne aap aur demaagh ko sar'garmiyon me mash'ghul rakhen masalan apne qaribi rishtedaaron se milen, ach'chhi aur mofid ketaaben padhen, ghar me pasandidah kaamon ( jayse kadhaaei, bonaaei aur silaaei کڑھائی، بنائی اور سلائی ) me khud ko mash'ghul rakhen, monaasib warzish karen ... aiysa karne se ous ko bhula sakti hain


sabr se kaam len, aur qur'aan wa doaa'aen padhen, khoda se madad talab karen, ahlebaite nabi ( سلام الله عليهم ) se tawas'sul karen aur doaa karen ke ous ki mohabbat aap ke dil se nikal jaa'ae aur behtar wa shaa'eista shauhar aap ke naseeb me ho


main oummid karta hun aur aap yaqin karen khoda aap ki madad kare ga khoda ka lutf-o-karam aap ke shaamile haal rahe ga aur aap ki doa qabul farmaa'ae ga ba'sharteke dil ki gahraaeiyon se aiysa karen...


mohabbat aur aap ke aehsaasaat aur afkaar par aql ki hokumat ho aql, mohabbat, aehsaasaat aur afkaar ko control karti hai aur ounhen sahih rukh par laati hai

apni mohabbat, peyaar aur shaadi ki baag dor aql ke sopurd kar den masalan shauhar ke intekhaab me aehsaasaat, jazbaat ka amal dakhal na ho balke cheraaghe raah yaani aql ki raahnumaaei, tahqiq aur buzurgon ke mashware ... ke baad ho aiysa karne se zindagi shirin ( شیریں ) aur bahot ach'chhi ho gi


agar is ke bar'aks wa khelaaf ho to talkh zindagi aur tabaahi wa barbaadi aur hasrat ke sewa kuchh bhi nahi


Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


8 / ربيع الثانى / 1443 ھ.ق


روز ولادت با سعادت امام حضرت حسن عسکری ( عليه السلام )

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.