Imaam Husain ke rauze ki shabih banaate hain lekin Imaam Hasan ke rauze ki keyon nahi banaate ? shabih ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, January 24, 2022

Imaam Husain ke rauze ki shabih banaate hain lekin Imaam Hasan ke rauze ki keyon nahi banaate ? shabih ka hukm

Sawaal az: mohtaram janaab Abid razavi / sb


Salamun alaikum Maulana sahab aap se ye poochhna chahta hoon ki imaam Husain ka roza sabhi jagah banwaya jata magar imam Hasan a s ka roza kyun nahi banwaya jata pls mujhe jawab dijiyega

aur is ka jawab MAKKAH GROUP me bhi post kariyega.


Abid Rizvi

Jeddah (SAUDI ARAB)


Jawaab :


باسمه تعالى

ياصاحب الزمان ادركنا

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Rauza-e-mobaarak ki shabih banaate hain, zaahir hai jab asl rauzah hoga tabhi to ous ki shabih banaaei jaa'ae gi lehaaza shaayad is ki wajah ye ho ke imaam Husain ( عليه السلام ) ka rauza-e-mobaarak hai is liae ous ki shabih banaate hai lekin imaam Hasan ( عليه السلام ) ka rauzah nahi hai ( khabees wahaabiyon ne "Jan'natul Baqi" me bane gumbad waghaiyrah ko mismaar kar diya aur taamir ki aejazat bhi nahi dete ) is liae ous ki shabih nahi banaate hain


Tabserah :


Rauza-e-mobaarak ki shabih wa naql banaate hain taake momeneen sawaab ki niyat se shabih ki zeyaarat karen


lekin yaad rahe ke haram wa rauze ki shabih wa nazeer ko asl haram wa rauzah ka darjah haasil nahi hota


aelaawah az ein shar'ei ahkaam ke ta'alluq se rauze ki shabih par asl rauze ka hukm jaari wa laagu na hoga


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


21 / جمادي الثانى / 1443 ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.