Sawaal az : mohtarama janaab Saniya Zahra sb / patna
Salamun alaikum wrwb
Mera ek sawal hai ke kya aurten aasmaan ke niche amal-e-Ashura baja la sakti hain ?
Jabki aurton ke liye hijab wajib hai phir wo aasmaan ke niche amal-e-Ashura kaise baja layenge zara clear kar den is sawal ka jawab
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
Aamaal-e-aashurah me aek amal zeyaarate aashurah bhi hai
sahra ya chhat ke oupar ya baland jagah ya zere aasmaan aamaal-e-aashurah karen aur zeyaarat-e-aashurah padhen to monaasib hai
is lehaaz se mard aur aurat ke darmeyaan farq nahi hai
farq satr aur parde ka hai
dauraane namaaz aurat ke liae jism ka chhupaana zaruri hai sewaa'ae chehre aur kalaaeiyon tak haathon aur takhne se niche tak paaon (پاؤں) ke, ke in ka chhupaana namaaz me waajib nahi hai chaahe kamre waghaiyrah me padhen ya aasmaan ke niche
namaaz ke aelaawah ghair mahram se chehre aur kalaaeiyon tak haathon ke sewa pure badan aur paaon ka pardah zaruri hai lehaaza agar zere aasmaan ... ghair mahram maujud hai aur dekh raha hai to badan ke shar'ei parde ke saath aamaal-e-aashurah baja laa sakti hain
aasmaan se pardah karna zaruri nahi hai balke ghair mahram se pardah karna waajib hai
Niche diae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
11 / شعبان / 1443ھ.ق
🌹🌹🌹🌹🌹
(بعض محققین کے راجح قول کے مطابق) روز ولادت با سعادت گل احمدی و فاطمی حضرت علی اکبر (سلام الله عليهم) اور روز جوان
🌹🌹🌹🌹🌹
No comments:
Comment