Imaame Zamaana (atfs) zohur ke baad bela faasela kis aayat ki telaawat karen ge ? - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Saturday, April 2, 2022

Imaame Zamaana (atfs) zohur ke baad bela faasela kis aayat ki telaawat karen ge ?

Sawaal az : mohtaram janaab Sarfaraz sb (South Africa)


➡️Imame zaman afts zahoor ke fauran Baad konsi aayat ki tilawat karenge ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


zohur ke baad bela faasela jo aayat aap ki zabaane mobaarak par jaari ho gi wo surah hud ki aayat 86 hai :


بَقِیَّتُ اللَّهِ خَیرٌ لَّکُمْ إِن کنتُم مُّؤْمِنِینَ


Hadis ka matn :


Imaam Saadiq (عليه السلام) se marwi aek tawil rewaayat me hai :


"فَإذَا خَرجَ أسْندَ ظَهْرَهُ إلَی الکعبةِ،و اجْتَمعَ إلیه ثلاثُ مائةٍ و ثلاثةَ عَشَرَ رجُلاً، فأوّلُ ما یَنطِقُ بهِ هذهِ الآیةُ: «بَقِیّةُ اللّه ِ خیرٌ لکم إنْ کُنتم مؤمنین» . ثُمّ یقولُ: أنا بَقِیّةُ اللّه ِ و حُجّتُهُ و خلیفتُهُ علَیکُم، فلا یُسَلِّمُ إلَیهِ مُسَلِّمٌ إلاّ قالَ: السّلامُ علیکَ یا بَقِیّةَ اللّه ِ فی أرضِهِ


Tarjamah :


"jab [Imaame Zamaana (عجل الله تعالى فرجه الشريف)] qeyaam karen ge to kaabah se tek lagaa'aen ge aur aap ke ird gird 313 log jama hon ge pas zabaan par pahli baat jo jaari hogi wo ye aayat hai : "allah ka baaqi maandah tumhaare liae behtar hai" phir farmaa'aen ge : main allah ka baqiyah hun aur tum par huj'jate khoda aur khoda ka khalifa hun, aap par koei bhi salaam karne waala salaam nahi kare ga magar (is tarah) kare ga "salaam ho aap par ay khoda ki zamin par baaqi maandah"


(tafsire nurus'saqalain jid 2 p 392)

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


30 / شعبان / 1443ھ.ق

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.