Roze eide ghadir aqde mowaakhaat padhne ke mota'alliq zaruri jaankaari - Edaara-e-darul itrat
Qabre Hazrat Faatemah | aap ne apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat kis ko nahi di Imaam Ali ki shaan me gholu aur tanqis halaakat ka sabab | fatwa | palestine ke asl haami kaun ? Aqalliyat ka aksariyat par ghalaba | Israil apne wojud ki jang lad raha hai

Monday, July 18, 2022

Roze eide ghadir aqde mowaakhaat padhne ke mota'alliq zaruri jaankaari

اردو میں بڑھنے کے لئے یہاں دبائیں


بسم الله الرحمن الرحیم

یا صاحب الزمان ادرکنا


Roze Eide Ghadir, Aqde o'khow'wat padhne ke mota'alliq zaruri jaan'kaari :


Mobaarak din yaani Eide Ghadir me aek monaasib wa behtar amal ye hai ke momenin Aqde o'khow'wat (aqde beraadari wa bhaaei chaarah) padhen, ye momenin ki dil bastagi aur taqwiyat ke liae aek ajib tamad'doni intezaam hai aur eimaani o'khow'wat ka aek aham aur misaali mazhar hai, feraasate nabawi ki aek jhalak bhi hai


Tariqah :


aek momin apne dusre momin bhaaei ke daahene haath par apna daahena haath rakh kar padhe :


" وآخَیْتُکَ فِی اللّٰهِ، وَصافَیْتُکَ فِی اللّٰهِ، وَصافَحْتُکَ فِی اللّٰهِ، وَعاهَدْتُ اللّٰهَ وَمَلائِکَتَهُ وَکُتُبَهُ وَرُسُلَهُ وَأَنْبِیاءَهُ وَالْأَئِمَّهَ الْمَعْصُومِینَ عَلَیْهِمُ السَّلامُ عَلَىٰ أَنَّی إِنْ کُنْتُ مِنْ أَهْلِ الْجَنَّهِ وَالشَّفاعَهِ وَأُذِنَ لِی بِأَنْ أَدْخُلَ الْجَنَّهَ لَاأَدْخُلُها إِلّا وَأَنْتَ مَعِی "


"Raahe khoda me tum ko apna bhaaei banaaya aur raahe khoda me tum ko apna mukhlis aur sach'cha dost banaaya aur raahe khoda me tum se mosaafaha kiya (haath milaaya) aur Khoda, ous ke Farishton, ous ki Ketaabon, ous ke Rasulon, ous ke Paighambaron aur A'aimma'ae maasum (علیهم السلام) se is baat ka ahd kiya ke agar mai Ahle bahisht wa shafaa'at huaa aur mujhe aejaazat di gaei ke jannat me daakhil hon to jannat me daakhil nahi hunga magar ye ke tum bhi mere saath raho"


Is ke baad dusra momin bhaaei (jis momin ke haath par haath rakha hai wo) kahe :


" قَبِلْتُ "


(qabul kiya)


phir jis momin ne dusre momin ke haath par haath rakha hai wo kahe :


" أَسْقَطْتُ عَنْکَ جَمِیعَ حُقُوقِ الْأُخُوَّةِ مَا خَلاَ الشَّفَاعَةَ وَ الدُّعَاءَ وَ الزِّیَارَةَ "


"Shafaa'at, doa aur zeyaarat ke aelaawah tum se bhaaei chaarah ke saare hoquq ko saaqit kiya"


(mustadrakul wasaael - jild 6 p 279 - taalif mohaddis nuri / mafaatihul jenaan)


Aqde o'khow'wat ke faa'aede wa maqaasid :


  1. Momenin ke darmeyaan gahra rishta wa bhaaei chaarah paiyda karna

  2. Har haal me dono ka ham'dard wa sharik ban jaana

  3. Momenin ke dilon ko haath me lena wa dil'juei karna

  4. Momenin ki mohabbat wa oulfat haasil karna

  5. Momenin ke darmeyaan saath mil kar kaam karne ka jazba paida karna

  6. Aek dusre ke liae doa karna

  7. Aek dusre ki taraf se zeyaarat karna

  8. Aakherat me aek dusre ki shafaa'at karna

  9. (Rishta'ae o'khow'wat qaa'aem hone ke baad behtar hai ke mazkurah o'mur ki re'aayat ki jaa'ae)


Ahkaam :


  1. Auraten aur ladkiyaan bhi aqde khaahari padh sakti hain

  2. Agar khaaharaane geraami Aqde o'khow'wat me padhe jaane waale seghon (kalemaat aur alfaaz) aur zamir ko taanis me tabdil nahi kar sakti hain to ousi ko apne aetebaar se kisi bhi zabaan me padh sakti hain


    Masalan kahen :


    Raahe khoda me tum ko apni bahen banaaya ... agar mai Ahle bahisht wa shafaa'at huei ... tum se khaahari ke saare hoquq ko saaqit kiya ... (tariqe me molaaheza farma len)


  3. Haqiqi beraadar aur khaahar ke ahkaam jaari wa laagu nahi honge yaani aek dusre ko miraas nahi mile gi, aek ka mahram dusre ke liae mahram nahi bane ga ...

  4. Waazeh ho ke aiysa koei segha nahi hai jis se koei mard ya ladka kisi aurat ya ladki ko apni bahen banaa'ae ya koei aurat ya ladki kisi mard ya ladke ko apna bahaaei banaa'ae


  5. Eide ghadir me kisi waqt bhi Aqde o'khow'wat padh sakte hain

Tabserah :


Aqde o'khow'wat ko Aqd-e-mowaakhaat bhi kaha jaata hai


Aqde o'khuw'wat se Hazrat Ali ki bartari Rasule khoda (سلام الله عليهم) ke aelaawah sab par saabit hai "is ta'alluq se taqriban 13 minute baad niche di video molaaheza farma len


Sabse zayada resaalat ki tauheen kisne ki part-3/3


teeno part dekhne ke liae click here


Syed Shamshad Ali katokhari
Khaadime edaara-e-darul itrat


18 / zilhijjah / 1443

🌹 روز عید غدیر 🌹

subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.